YouVersion Logo
Search Icon

G̣azalu’l G̣azalát 3

3
1Maiṉ ne rát ko apne palang par use ḍhúṉḍhá jo merí ján ká piyárá hai:
Maiṉ ne use ḍhúṉḍhá, par na páyá.
2Ab maiṉ uṭhúṉgí, aur shahr meṉ phirúṉgí,
Kúchoṉ meṉ aur bázároṉ meṉ,
Us ko ḍhúṉḍhúṉgí jo merí ján ká piyárá hai;
Maiṉ ne use ḍhúṉḍhá, par na páyá.
3Pahrewále, jo shahr meṉ phirte haiṉ, mujhe mile;
Maiṉ ne púchhá, Kyá tum ne use dekhá jo merí ján ká piyárá hai?
4Abhí maiṉ un se thoṛá hí áge baṛhí thí,
Ki merí ján ká piyárá mujhe mil gayá;
Maiṉ ne use pakaṛ rakkhá, aur use na chhoṛá,
Jab tak ki maiṉ use apní máṉ ke ghar meṉ,
Aur apní wálida ke ḳhalwatḳháne meṉ na le gayí.
5Ai Yarúshalem kí beṭiyo,
Maiṉ tum ko g̣azáloṉ aur maidán kí harniyoṉ kí qasam detí húṉ,
Ki tum mere piyáre ko na jagáo, na uṭháo,
Jab tak ki wuh uṭhná na cháhe.
6Yih kaun hai jo murr aur lubán se,
Aur saudágaroṉ ke tamám ‘itroṉ se mu‘attar hokar,
Biyábán se dhuweṉ ke sutún kí mánind chalá átá hai?
7Dekho, yih Sulaimán kí pálkí hai;
Jis ke sáth Isráílí baháduroṉ meṉ se
Sáṭh pahlawán haiṉ.
8Wuh sab ke sab shamsherzan aur jang meṉ máhir haiṉ;
Rát ke ḳhatre ke sabab se
Har ek kí talwár us kí rán par laṭak rahí hai.
9Sulaimán bádsháh ne Lubnán kí laḳriyoṉ se
Apne liye ek pálkí banwáí.
10Us ke ḍanḍe chándí ke banwáe,
Us kí nishast sone kí, aur gaddí aṛgawání banwáí,
Aur us ke andar ká farsh
Yarúshalem kí beṭiyoṉ ne ‘ishq se murassa‘ kiyá.
11Ai Siyyún kí beṭiyo, báhar niklo, aur Sulaimán bádsháh ko dekho,
Us táj ke sáth jo us kí máṉ ne us ke biyáh ke din
Aur us ke dil kí shádmání ke roz us ke sir par rakkhá.

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in