Romíoṉ 13
13
1Har shaḳhs aʻlá hukúmatoṉ ká tábiʻdár rahe; kyúṉki koí hukúmat aisí nahíṉ, jo Ḳhudá kí taraf se na ho; aur jo hukúmateṉ maujúd haiṉ, wuh Ḳhudá kí taraf se muqarrar haiṉ. 2Pas jo koí hukúmat ká sámná kartá hai, wuh Ḳhudá ke intizám ká muḳhálif hai: aur jo muḳhálif haiṉ, wuh sazá páeṉge. 3Kyúṉki nekokár ko hákimoṉ se ḳhauf nahíṉ, balki badkár ko hai. Pas agar tú hákim se niḍar rahná cháhtá hai, to nekí kar, us kí taraf se terí taʻríf hogí; 4kyúṉki wuh terí bihtarí ke liye Ḳhudá ká ḳhádim hai. Lekin agar tú badí kare, to ḍar; kyúṉki wuh talwár befáida liye húe nahíṉ; aur Ḳhudá ká ḳhádim hai, ki us ke gazab ke muwáfiq badkár ko sazá detá hai. 5Pas tábiʻdár rahná, na sirf gazab ke ḍar se zarúr hai, balki dil bhí yihí gawáhí detá hai. 6Tum isí liye ḳhiráj bhí dete ho, ki wuh Ḳhudá ke ḳhádim haiṉ, aur is ḳháss kám meṉ hamesha mashgúl rahte haiṉ. 7Sab ká haqq adá karo; jis ko ḳhiráj cháhiye, ḳhiráj do; jis ko mahsúl cháhiye, mahsúl; jis se ḍarná cháhiye, us se ḍaro; jis kí ʻizzat karní cháhiye, us kí ʻizzat karo.
8Ápas kí mahabbat ke siwá, kisí chíz meṉ kisí ke qarzdár na ho; kyúṉki jo dúsre se mahabbat rakhtá hai, us ne sharíʻat par púrá ʻamal kiyá. 9Kyúṉki yih báteṉ, ki Ziná na kar, Ḳhún na kar, Chorí na kar, Lálach na kar, aur in ke siwá âur jo koí hukm ho, un sab ká ḳhulása is bát meṉ páyá játá hai, ki Apne paṛausí se apní mánind mahabbat rakh. 10Mahabbat apne paṛausí se badí nahíṉ kartí; is wáste mahabbat sharíʻat kí taʻmíl hai.
11Aur waqt ko pahchánkar aisá hí karo, is liye ki ab wuh ghaṛí á pahuṉchí ki tum níṉd se jágo; kyúṉki jis waqt ham ímán láe the, us waqt kí nisbat ab hamárí naját nazdík hai. 12Rát bahut guzar gayí, aur din nikalnewálá hai: pas ham táríkí ke kámoṉ ko tark karke, raushní ke hathyár báṉdh leṉ. 13Jaisá din ko dastúr hai, sháistagí se chaleṉ; na ki náchrang aur nashebází se, na zinákárí aur shahwatparastí se, aur na jhagṛe aur hasad se; 14balki Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ko pahin lo, aur jism kí ḳhwáhishoṉ ke liye tadbíreṉ na karo.
Currently Selected:
Romíoṉ 13: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)