YouVersion Logo
Search Icon

Amsál 31

31
1Lamúel bádsháh ke paig̣ám kí báteṉ,
Jo us kí máṉ ne use sikháíṉ.
2Ai mere beṭe, ai mere rihm ke beṭe,
Tujhe jise maiṉ ne nazreṉ mánkar páyá, kyá kahúṉ?
3Apní quwwat ‘auratoṉ ko na de,
Aur apní ráheṉ bádsháhoṉ ko bigáṛnewáliyoṉ kí taraf na nikál.
4Bádsháhoṉ ko, ai Lamúel, bádsháhoṉ ko maiḳhwárí zebá nahíṉ,
Aur sharáb kí talásh hákimoṉ ko sháyán nahíṉ.
5Mabádá wuh píkar qawánín ko bhúl jáeṉ,
Aur kisí mazlúm kí haqqtalafí kareṉ.
6Sharáb us ko piláo jo marne par hai,
Aur mai us ko jo talḳhján hai:
7Táki wuh piye aur apní tangdastí farámosh kare,
Aur apní tabáhhálí ko phir yád na kare.
8Apná muṉh gúṉge ke liye khol,
Un sab kí wakálat ko jo bekas haiṉ.
9Apná muṉh khol, rástí se faisala kar,
Aur miskínoṉ aur muhtájoṉ ká insáf kar.
10Nekokár bíwí kis ko miltí hai?
Kyúṉki us kí qadr marján se bhí bahut ziyáda hai.
11Us ke shauhar ke dil ko us par i‘timád hai,
Aur use munáfa‘ kí kamí na hogí.
12Wuh apní ‘umr ke tamám aiyám meṉ
Us se nekí hí karegí, badí na karegí.
13Wuh ún aur katán ḍhúṉḍhtí hai,
Aur ḳhushí ke sáth apne háthoṉ se kám kartí hai.
14Wuh saudágaroṉ ke jaházoṉ kí mánind hai;
Wuh apní ḳhurish dúr se le átí hai.
15Wuh rát hí ko uṭh baiṭhtí hai,
Aur apne gharáne ko khilátí hai,
Aur apní lauṉḍiyoṉ ko kám detí hai.
16Wuh kisí khet kí bábat sochtí hai aur use ḳharíd letí hai,
Aur apne háthoṉ ke nafa‘ se tákistán lagátí hai.
17Wuh mazbútí se apní kamar báṉdhtí hai,
Aur apne bázúoṉ ko mazbút kartí hai.
18Wuh apní saudágarí ko súdmand pátí hai,
Rát ko us ká chirág̣ nahíṉ bujhtá.
19Wuh takle par apne háth chalátí hai,
Aur us ke háth aṭeran pakaṛte haiṉ.
20Wuh muflisoṉ kí taraf apná háth baṛhátí hai,
Háṉ, wuh apne háth muhtájoṉ kí taraf baṛhátí hai.
21Wuh apne gharáne ke liye barf se nahíṉ ḍartí,
Kyúṉki us ke ḳhándán meṉ har ek surḳhposh hai.
22Wuh apne liye nigáreṉ báláposh banátí hai,
Us kí poshák mihín katání aur arg̣awání hai.
23Us ká shauhar pháṭak meṉ mashhúr hai,
Jab wuh mulk ke buzurgoṉ ke sáth baiṭhtá hai.
24Wuh mihín katání kapṛe banákar bechtí hai,
Aur paṭke saudágaroṉ ke hawále kartí hai.
25‘Izzat aur hurmat us kí poshák haiṉ;
Aur wuh áyanda aiyám par haṉstí hai.
26Us ke muṉh se hikmat kí báteṉ nikaltí haiṉ;
Us kí zabán par shafaqat kí ta‘lím hai.
27Wuh apne gharáne par baḳhúbí nigáh rakhtí hai;
Aur káhilí kí roṭí nahíṉ khátí.
28Us ke beṭe uṭhte haiṉ, aur use mubárak kahte haiṉ;
Us ká shauhar bhí us kí ta‘ríf kartá hai,
29Ki Bahuterí beṭiyoṉ ne fazílat dikháí hai,
Lekin tú sab par sabqat le gayí.
30Husn dhoká aur jamál besabát hai;
Lekin wuh ‘aurat jo Ḳhudáwand se ḍartí hai sitúda hogí.
31Us kí mihnat ká ajr use do,
Aur us ke kámoṉ se majlis meṉ us kí sitáish hogí.

Currently Selected:

Amsál 31: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in