YouVersion Logo
Search Icon

Amsál 30

30
1Yáqa ke beṭe Ajúr ke paig̣ám kí báteṉ.
Us ádmí ne Atíel, háṉ Atíel aur Ukál se kahá; —
2Yaqínan maiṉ har ek insán se ziyáda haiwán húṉ;
Aur insán ká sá fahm mujh meṉ nahíṉ;
3Main ne hikmat nahíṉ síkhí,
Aur na mujhe us Quddús ká ‘irfán hásil hai.
4Kaun ásmán par chaṛhá aur phir níche utrá?
Kis ne hawá ko apní muṭṭhí meṉ jama‘ kar liyá?
Kis ne pání ko chádar meṉ báṉdhá?
Kis ne zamín kí hudúd ṭhahráíṉ?
Agar tú jántá hai, to batá us ká kyá nám hai, aur us ke beṭe ká kyá nám hai?
5Ḳhudá ká har ek suḳhan pák hai:
Wuh un kí sipar hai jin ká tawakkul us par hai.
6Tú us ke kalám meṉ kuchh na baṛháná,
Mabádá wuh tujh ko tambíh kare aur tú jhúṭhá ṭhahre.
7Maiṉ ne tujh se do bátoṉ kí darḳhwást kí hai,
Mere marne se pahle un ko mujh se dareg̣ na kar.
8Batálat aur darog̣goí ko mujh se dúr kar de,
Aur mujh ko na kaṉgál kar, na daulatmand;
Merí zarúrat ke mutábiq mujhe rozí de,
9Aisá na ho ki maiṉ ser hokar inkár karúṉ, aur kahúṉ, Ḳhudáwand kaun hai?
Yá mabádá muhtáj hokar chorí karúṉ,
Aur apne Ḳhudá ke nám kí takfír karúṉ.
10Ḳhádim par us ke áqá ke huzúr tuhmat na lagá,
Tá na ho ki wuh tujh par la‘nat kare aur tú mujrim ṭhahre.
11Ek pusht aisí hai jo apne báp par la‘nat kartí hai,
Aur apní máṉ ko mubárak nahíṉ kahtí.
12Ek pusht aisí hai jo apní nigáh meṉ pák hai,
Lekin us kí gandagí us se dhoí nahíṉ gayí.
13Ek pusht aisí hai, ki wáh wáh kyá hí balandnazar hai!
Aur un kí palakeṉ úpar ko uṭhí rahtí haiṉ.
14Ek pusht aisí hai jis ke dáṉt talwáreṉ haiṉ aur ḍáṛheṉ chhuriyáṉ,
Táki zamín ke miskínoṉ aur baní Ádam ke kaṉgáloṉ ko khá jáeṉ.
15Joṉk kí do beṭiyáṉ haiṉ, jo De, de, chillátí haiṉ,
Tín haiṉ jo kabhí ser nahíṉ hotíṉ;
Balki chár haiṉ jo kabhí Bas nahíṉ kahtíṉ:
16Pátál aur báṉjh ká rihm;
Aur zamín jo seráb nahíṉ húí;
Aur ág jo kabhí Bas nahíṉ kahtí:
17Wuh áṉkh jo apne báp kí haṉsí kartí hai,
Aur apní máṉ kí farmánbardárí ko haqír jántí hai;
Wádí ke kauwe us ko uchak le jáeṉge,
Aur giddh ke bachche use kháeṉge.
18Tín chízeṉ mere nazdík bahut hí ‘ajíb haiṉ,
Balki chár haiṉ jin ko maiṉ nahíṉ jántá:
19‘Uqáb kí ráh hawá meṉ;
Aur sáṉp kí ráh chaṭán par;
Aur jaház kí ráh samundar meṉ;
Aur mard kí rawish jawán ‘aurat ke sáth.
20Zániya kí ráh aisí hí hai;
Wuh khátí hai aur apná muṉh poṉchhtí hai,
Aur kahtí hai, Maiṉ ne kuchh buráí nahíṉ kí.
21Tín chízoṉ se zamín larzán hai,
Balki chár haiṉ jin kí wuh bardásht nahíṉ kar saktí:
22G̣ulám se jo bádsháhí karne lage;
Aur ahmaq se jab us ká peṭ bhare;
23Aur námaqbúl ‘aurat se jab wuh biyáhí jáe;
Aur lauṉḍí se jo apní bíbí kí wáris ho.
24Chár haiṉ jo zamín par náchíz haiṉ,
Lekin bahut dáná haiṉ:
25Chyúṉṭiyáṉ kamzor maḳhlúq haiṉ,
Taubhí garmí meṉ apne liye ḳhurák jama‘ kar rakhtí haiṉ;
26Aur sáfán agarchi nátawán maḳhlúq haiṉ,
Taubhí chaṭánoṉ ke darmiyán apne ghar banáte haiṉ;
27Aur ṭiḍḍiyáṉ jin ká koí bádsháh nahíṉ,
Taubhí pare báṉdhkar nikaltí haiṉ;
28Aur chhipkalí jo apne háthoṉ se pakaṛtí hai,
Aur taubhí sháhí mahalloṉ meṉ hai.
29Tín ḳhushraftár haiṉ,
Balki chár jin ká chalná ḳhushnumá hai:
30Ek to sher i babar jo sab haiwánát meṉ bahádur hai,
Aur kisí ko píṭh nahíṉ dikhátá;
31Janglí ghoṛá aur bakrá,
Aur bádsháh jis ká sámná koí na kare.
32Agar tú ne hamáqat se apne áp ko baṛá ṭhahráyá hai,
Yá tú ne koí burá mansúba báṉdhá hai, to háth apne muṉh par rakh;
33Kyúṉki yaqínan dúdh bilone se makkhan nikaltá hai,
Aur nák maroṛne se lahú;
Isí tarah qahr bhaṛkáne se fasád barpá hotá hai.

Currently Selected:

Amsál 30: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in