YouVersion Logo
Search Icon

Amsál 29

29
1Jo bár bár tambíh pákar bhí gardankashí kartá hai.
Nágahán barbád kiyá jáegá, aur us ká koí chára na hogá.
2Jab sádiq iqbálmand hote haiṉ to log ḳhush hote haiṉ:
Lekin jab sharír iqtidár páte haiṉ to log áheṉ bharte haiṉ.
3Jo koí hikmat se ulfat rakhtá hai apne báp ko ḳhush kartá hai:
Lekin jo kasbíoṉ se suhbat rakhtá hai apná mál uṛátá hai.
4Bádsháh ‘adl se apní mamlukat ko qiyám baḳhshtá hai:
Lekin rishwatsitán us ko wírán kartá hai.
5Jo apne hamsáye kí ḳhushámad kartá hai,
Us ke páṉwoṉ ke liye jál bichhátá hai.
6Badkirdár ke gunáh meṉ phandá hai,
Lekin sádiq gátá aur ḳhushí kartá hai.
7Sádiq miskínoṉ ke mu‘ámale ká ḳhayál rakhtá hai,
Lekin sharír meṉ us ko jánne kí liyáqat nahíṉ.
8Thaṭṭhebáz shahr meṉ ág lagáte haiṉ,
Lekin dáná qahr ko dúr kar dete haiṉ.
9Agar dáná ahmaq se mubáhasa kare.
To ḳhwáh wuh qahr kare ḳhwáh haṉse, kuchh itmínán na hogá.
10Ḳhúnrez log kámil ádmí se kína rakhte haiṉ:
Lekin rástkár us kí ján bacháne ká qasd karte haiṉ.
11Ahmaq apná qahr ugal detá hai,
Lekin dáná us ko roktá aur pi játá hai.
12Agar koí hákim jhúṭh par kán lagátá hai,
To us ke sab ḳhádim sharír ho játe haiṉ.
13Miskín aur zabardast ek dúsre se milte haiṉ.
Aur Ḳhudáwand donoṉ kí áṉkheṉ raushan kartá hai.
14Jo bádsháh diyánatdárí se miskínoṉ kí ‘adálat kartá hai,
Us ká taḳht hamesha qáim rahtá hai.
15Chhaṛí aur tambíh hikmat baḳhshtí haiṉ,
Lekin jo laṛká betarbiyat chhoṛ diyá játá hai apní máṉ ko ruswá karegá.
16Jab sharír iqbálmand hote haiṉ to badí ziyáda hotí hai:
Lekin sádiq un kí tabáhí dekheṉge.
17Apne beṭe kí tarbiyat kar, aur wuh tujhe árám degá,
Aur terí ján ko shádmán karegá.
18Jaháṉ royá nahíṉ waháṉ log beqaid ho játe haiṉ;
Lekin sharí‘at par ‘amal karnewálá mubárak hai.
19Naukar bátoṉ hí se nahíṉ sudhartá,
Kyúṉki agarchi wuh samajhtá hai, taubhí parwá nahíṉ kartá.
20Kyá tú betáammul bolnewále ko dekhtá hai?
Us ke muqábale meṉ ahmaq se ziyáda ummed hai.
21Jo apne ḳhánazád ko laṛakpan se náz meṉ páltá hai,
Wuh áḳhirkár us ká beṭá ban baiṭhegá.
22Qahrálúda ádmí fitna barpá kartá hai,
Aur g̣azabnák gunáh meṉ ziyádatí kartá hai.
23Ádmí ká g̣urúr us ko past karegá;
Lekin jo dil se firotan hai ‘izzat hásil karegá.
24Jo koí chor ká sharík hotá hai apní ján se dushmaní rakhtá hai;
Wuh half uṭhátá hai aur hál bayán nahíṉ kartá.
25Insán ká ḍar phandá hai;
Lekin jo koí Ḳhudáwand par tawakkul kartá hai mahfúz rahegá.
26Hákim kí mihrbání ke tálib bahut haiṉ,
Lekin insán ká faisala Ḳhudáwand kí taraf se hai.
27Sádiq ko beinsáf se nafrat hai,
Aur sharír ko rástrau se.

Currently Selected:

Amsál 29: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in