Amsál 11
11
1Dag̣á kí tarázú se Ḳhudáwand ko nafrat hai:
Lekin púrá báṭ us kí ḳhushí hai.
2Takabbur ke hamráh ruswáí átí hai:
Lekin ḳháksároṉ ke sáth hikmat hai.
3Rástbázoṉ kí rástí un kí rahnumá hogí:
Lekin dag̣ábázoṉ kí kajrawí un ko barbád karegí.
4Qahr ke din mál kám nahíṉ átá:
Lekin sadáqat maut se riháí detí hai.
5Kámil kí sadáqat us kí rahnumáí karegí:
Lekin sharír apní hí sharárat se gir paṛegá.
6Rástbázoṉ kí sadáqat un ko riháí degí:
Lekin dag̣ábáz apní hí badníyatí meṉ phaṉs jáeṉge.
7Marne par sharír kí tawaqqu‘ ḳhák meṉ mil játí hai:
Aur zálimoṉ kí ummed nest ho játí hai.
8Sádiq musíbat se riháí pátá hai,
Aur sharír us meṉ par játá hai.
9Bedín apní bátoṉ se apne paṛausí ko halák kartá hai:
Lekin sádiq ‘ilm ke zarí‘e se riháí páegá.
10Sádiqoṉ kí ḳhushhálí se shahr ḳhush hotá hai:
Aur sharíroṉ kí halákat par ḳhushí kí lalkár hotí hai.
11Rástbázoṉ kí du‘á se shahr sarfarází pátá hai:
Lekin sharíroṉ kí bátoṉ se barbád hotá hai.
12Apne paṛausí kí tahqír karnewálá be‘aql hai:
Lekin sáhib i fahm ḳhámosh rahtá hai.
13Jo koí lutrápan kartá phirtá hai ráz fásh kartá hai:
Lekin jis meṉ wafá kí rúh hai wuh rázdár hai.
14Nek saláh ke bag̣air log tabáh hote haiṉ:
Lekin saláhkároṉ kí kasrat meṉ salámatí hai.
15Jo begáne ká zámin hotá hai saḳht nuqsán uṭháegá:
Lekin jis ko zamánat se nafrat hai beḳhatar hai.
16Neksírat ‘aurat ‘izzat pátí hai:
Aur tundḳho ádmí mál hásil karte haiṉ.
17Rahmdil apní ján ke sáth nekí kartá hai:
Lekin berahm apne jism ko dukh detá hai.
18Sharír kí kamáí bátil hai:
Lekin sadáqat bonewálá haqíqí ajr pátá hai.
19Sadáqat par qáim rahnewálá zindagí hásil kartá hai:
Aur badí ká pairau apní maut ko pahuṉchtá hai.
20Kajdiloṉ se Ḳhudáwand ko naffrat hai:
Lekin kámilraftár us kí ḳhushnúdí haiṉ.
21Yaqínan sharír besazá na chhúṭegá:
Lekin sádiqoṉ kí nasl riháí páegí.
22Betamíz ‘aurat meṉ ḳhúbsúratí
Goyá súar kí nák meṉ sone kí nath hai.
23Sádiqoṉ kí tamanná sirf nekí hai:
Lekin sharíroṉ kí ummed g̣azab hai.
24Koí to bithrátá hai par taubhí taraqqí kartá hai;
Aur koí wájibí ḳharch se dareg̣ kartá hai par taubhí kaṉgál hai.
25Faiyáz dil moṭá ho jáegá:
Aur seráb karnewálá ḳhud bhí seráb hogá.
26Jo g̣alla rok rakhtá hai log us par la‘nat kareṉge:
Lekin jo use bechtá hai us ke sir par barakat hogí.
27Jo dil se nekí kí talásh meṉ hai maqbúlíyat ká tálib hai:
Lekin jo badí kí talásh meṉ hai wuh usí ke áge áegí.
28Jo apne mál par bharosá kartá hai gir paṛegá:
Lekin sádiq hare pattoṉ kí tarah sarsabz hoṉge.
29Jo apne gharáne ko dukh detá hai hawá ká wáris hogá:
Aur ahmaq dánádil ká ḳhádim banegá.
30Sádiq ká phal hayát ká daraḳht hai;
Aur jo dánishmand hai diloṉ ko moh letá hai.
31Dekh, sádiq ko zamín par badla diyá jáegá:
To kitná ziyáda sharír aur gunahgár ko!
Currently Selected:
Amsál 11: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)