Marqus 3
3
1Aur wuh ʻibádatḳháne meṉ phir dáḳhil húá; aur waháṉ ek ádmí thá, jis ká háth súkhá húá thá. 2Aur wuh us kí ták meṉ rahe, ki agar wuh use Sabt ke din achchhá kare, to us par ilzám lagáeṉ. 3Us ne us ádmí se, jis ká háth súkhá húá thá, kahá; Bích meṉ khaṛá ho. 4Aur un se kahá; Sabt ke din nekí karní rawá hai, yá badí karní? ján ko bacháná, yá qatl karná? Wuh chup rah gaye. 5Us ne un kí saḳhtdilí ke sabab gamgín hokar, aur chároṉ taraf un par gusse se nazar karke us ádmí se kahá, ki Apná háth baṛhá. Us ne baṛhá diyá, aur us ká háth durust ho gayá. 6Phir Farísí fiʼlfaur báhar jákar Herodíoṉ ke sáth us ke barḳhiláf mashwara karne lage, ki use kis tarah halák kareṉ.
7Aur Yisúʻ apne shágirdoṉ ke sáth jhíl kí taraf chalá gayá: aur Galíl se ek baṛí bhíṛ píchhe ho lí; aur Yahúdiya, 8aur Yarúshalem, aur Idúmaya se, aur Yardan ke pár, aur Súr aur Saidá ke ás pás se ek baṛí bhíṛ, yih sunkar ki wuh kaise baṛe kám kartá hai, us ke pás áí. 9Pas us ne apne shágirdoṉ se kahá; Bhíṛ kí wajh se ek chhoṭí kishtí mere liye taiyár rahe, táki wuh mujhe dabá na dáleṉ; 10kyúṉki us ne bahut logoṉ ko achchhá kiyá thá; chunáṉchi jitne log saḳht bímáríoṉ meṉ giriftár the, us par gire paṛte the, ki use chhú leṉ. 11Aur nápák rúheṉ jab use dekhtí thíṉ, us ke áge gir paṛtí, aur pukárkar kahtí thíṉ, ki Tú Ḳhudá ká Beṭá hai. 12Aur wuh unheṉ baṛí tákíd kartá thá, ki mujhe záhir na karná.
13Phir wuh paháṛ par chaṛh gayá, aur jin ko wuh áp cháhtá thá unheṉ pás buláyá; aur wuh us ke pás chale áe. 14Aur us ne bárah ko muqarrar kiyá, táki us ke sáth raheṉ, aur wuh unheṉ bheje ki manádí kareṉ, 15aur badrúhoṉ ke nikálne ká iḳhtiyár rakkheṉ: 16wuh yih haiṉ; Shamaʻún, jis ká nám Patras rakkhá; 17aur Zabdí ká beṭá Yaʻqúb, aur Yaʻqúb ká bháí Yúhanná, jin ká nám Búanargis, yaʻní Garaj ke Beṭe rakkhá; 18aur Andriyás, aur Filippus, aur Bar-Tulmáí, aur Matí, aur Tomá, aur Halfaí ká beṭá Yaʻqúb, aur Taddí, aur Shamaʻún Qanʼání, 19aur Yahúdáh Iskariyotí, jis ne use pakaṛwá bhí diyá.
Wuh ghar meṉ áyá; 20aur itne log phir jamaʻ ho gaye, ki wuh roṭí bhí na khá sake. 21Jab us ke ʻazízoṉ ne yih suná, to use pakaṛne ko nikle; kyúṉki kahte the, ki Wuh beḳhud hai. 22Aur faqíh jo Yarúshalem se áe the yih kahte the, ki Us ke sáth Baʻalzabúl hai, aur yih bhí, ki Wuh badrúhoṉ ke sardár kí madad se badrúhoṉ ko nikáltá hai. 23Wuh unheṉ pás bulákar tamsílon meṉ un se kahne lagá; Shaitán ko Shaitán kis tarah nikál saktá hai? 24Aur agar kisí bádsháhat meṉ phúṭ paṛe, to wuh bádsháhat qáim nahíṉ ráh saktí. 25Aur agar kisí ghar meṉ phúṭ paṛe, to wuh ghar qáim na rah sakegá. 26Aur agar Shaitán apná hí muḳhálif hokar apne meṉ phúṭ dále, to wuh qáim nahíṉ rah saktá, balki us ká ḳhátima ho játá hai. 27Lekin koí ádmí kisí zoráwar ke ghar meṉ ghuskar us ke asbáb ko lúṭ nahíṉ saktá, jab tak wuh pahle us zoráwar ko na báṉdh le; phir us ke ghar ko lúṭ legá. 28Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki baní Ádam ke sab gunáh aur jitná kufr wuh bakte haiṉ, muʻáf kiyá jáegá: 29lekin jo koí Rúhuʼl Quds ke haqq meṉ kufr bake, wuh abad tak muʻáfí na páegá, balki abadí gunáh ká qusúrwár hai: 30kyúṉki wuh kahte the, ki Us meṉ nápák rúh hai.
31Phir us kí máṉ aur us ke bháí áe, aur báhar khaṛe hokar use bulwá bhejá. 32Aur bhíṛ us ke ás pás baiṭhí thí; aur unhoṉ ne us se kahá; Dekh, terí máṉ aur tere bháí báhar tujhe púchhte haiṉ. 33Us ne unheṉ yih jawáb diyá; Kaun hai merí máṉ aur mere bháí? 34Aur un par jo us ke gird baiṭhe the nazar karke kahá; Dekho, merí máṉ aur mere bháí yih haiṉ! 35Kyúṉki jo koí Ḳhudá kí marzí par chale, wuhí merá bháí aur bahin aur mán hai.
Currently Selected:
Marqus 3: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)