YouVersion Logo
Search Icon

Matí 22

22
1Aur Yisúʻ phir un se tamsíloṉ meṉ kahne lagá, ki 2Ásmán kí bádsháhat us bádsháh kí mánind hai, jis ne apne beṭe kí shádi kí; 3aur apne naukaroṉ ko bhejá ki buláe húoṉ ko shádí meṉ buláeṉ; magar unhoṉ ne áná na cháhá. 4Phir us ne âur naukaroṉ ko yih kahkar bhejá, ki Buláe húoṉ se kaho, ki Dekho, maiṉ ne ziyáfat taiyár kar lí hai; mere bail aur moṭe moṭe jánwar zabh ho chuke haiṉ, aur sab kuchh taiyár hai; shádí meṉ áo. 5Magar wuh beparwáí karke chal diye, koí apne khet ko, koí apní saudágarí ko, 6aur báqíoṉ ne us ke naukaroṉ ko pakaṛkar beʻizzat kiyá, aur már ḍálá. 7Bádsháh ko gussa áyá, aur ápná lashkar bhejkar, un ḳhúníoṉ ko halák kar diyá, aur un ká shahr phúṉk diyá. 8Tab us ne apne naukaroṉ se kahá, ki Shádi kí ziyáfat to taiyár hai, magar buláe húe láiq na the. 9Pas rástoṉ ke nákoṉ par jáo, aur jitne tumheṉ mileṉ, shádi meṉ bulá láo. 10Aur wuh naukar báhar rástoṉ par jákar, jo unheṉ mile, kyá bure kyá bhale, sab ko jamaʻ kar láe, aur shádí kí mahfil mihmánoṉ se bhar gayí. 11Aur jab bádsháh mihmánoṉ ke dekhne ko andar áyá, to us ne waháṉ ek ádmí ko dekhá, jo shádi ki poshák pahine húe na thá; 12aur us se kahá; Miyáṉ, tú shádí kí poshák pahine bagair yaháṉ kyúṉkar á gayá? Lekin us ká muṉh band ho gayá. 13Is par bádsháh ne ḳhádimoṉ se kahá; Us ke háth páṉw báṉdhkar us ko báhar andhere meṉ ḍál do; waháṉ roná aur dáṉtoṉ ká písná hogá. 14Kyúṉki buláe húe bahut haiṉ, magar barguzída thoṛe.
15Us waqt Farísíoṉ ne jákar mashwara kiyá, ki use kyúṉkar bátoṉ meṉ phaṉsáeṉ. 16Pas unhoṉ ne apne shágirdoṉ ko Herodíoṉ ke sáth us ke pás bhejá, aur unhoṉ ne kahá; Ai ustád, ham jánte haiṉ ki tú sachchá hai, aur sachchái se Ḳhudá kí ráh kí taʻlím detá hai, aur kisí kí parwá nahíṉ kartá; kyúṉki tú kisí ádmí ká tarafdár nahíṉ. 17Pas hameṉ batá, tú kyá samajhtá hai? Qaisar ko jizya dená rawá hai, yá nahíṉ? 18Yisúʻ ne un kí sharárat jánkar kahá; Ai riyákáro, mujhe kyúṉ ázmáte ho? 19Jizye ká sikka mujhe dikháo. Wuh ek dínár us ke pás le áe. 20Us ne un se kahá; Yih súrat aur nám kis ká hai? 21Unhoṉ ne us se kahá; Qaisar ká. Is par us ne un se kahá; Pas jo Qaisar ká hai, Qaisar ko, aur jo Ḳhudá ká hai, Ḳhudá ko adá karo. 22Unhoṉ ne yih sunkar taʻajjub kiyá, aur use chhoṛkar chale gaye.
23Usí din Sadúqí, jo kahte haiṉ, ki qiyámat hai hí nahíṉ, us ke pás áe, aur us se yih suwál kiyá, ki 24Ai ustád, Músá ne kahá thá ki Agar koí beaulád mar jáe, to us ká bháí us kí bíwí se biyáh kar le, aur apne bháí ke liye nasl paidá kare. 25Ab hamáre darmiyán sát bháí the; aur pahlá biyáh karke mar gayá, aur is sabab se, ki us ke aulád na thí, apní bíwí apne bhái ke liye chhoṛ gayá; 26isí tarah dúsrá aur tísrá bhí, sátweṉ tak. 27Sab ke píchhe wuh ʻaurat bhí mar gayí. 28Pas wuh qiyámat meṉ un sátoṉ meṉ se kis kí bíwí hogí? kyúṉki sab ne us se biyáh kiyá thá. 29Yisúʻ ne jawáb meṉ un se kahá, ki Tum gumráh ho, is liye ki na kitáb i muqaddas ko jánte ho, na Ḳhudá ki qudrat ko; 30kyúṉki qiyámat meṉ biyáh shádí na hogí, balki log ásmán par firishtoṉ kí mánind hoṉge. 31Magar murdoṉ ke jí uṭhne kí bábat, jo Ḳhudá ne tumheṉ farmáyá thá, kyá tum ne wuh nahíṉ paṛhá, ki 32Maiṉ Ibráhím ká Ḳhudá, aur Izháq ká Ḳhudá, aur Yaʻqúb ká Ḳhudá húṉ? Wuh to murdoṉ ká Ḳhudá nahíṉ, balki zindoṉ ká hai. 33Log yih sunke us kí taʻlím se hairán húe.
34Aur jab Farísíoṉ ne suná, ki us ne Sadúqíoṉ ká muṉh band kar diyá, to wuh jamaʻ ho gaye; 35aur un meṉ se ek ʻálim i sharaʻ ne ázmáne ke liye us se púchhá; 36Ai ustád, Tauret meṉ kaun sá hukm baṛá hai? 37Us ne us se kahá, ki Ḳhudáwand apne Ḳhudá se apne sáre dil, aur apní sárí ján, aur apní sárí ʻaql se mahabbat rakh. 38Baṛá aur pahlá hukm yihí hai. 39Aur dúsrá us kí mánind yih hai, ki Apne paṛausí se apne barábar mahabbat rakh. 40In hí do hukmoṉ par tamám Tauret aur ambiyá ke sahífoṉ ká madár hai.
41Aur jab Farísí jamaʻ húe, to Yisúʻ ne un se yih púchhá, 42ki Tum Masíh ke haqq meṉ kyá samajhte ho? Wuh kis ká beṭá hai? Unhoṉ ne us se kahá; Dáúd ká. 43Us ne un se kahá; Pas Dáúd Rúh kí hidáyat se kyúṉkar use Ḳhudáwand kahtá hai, ki
44Ḳhudáwand ne mere Ḳhudáwand se kahá;
Merí dahiní taraf baiṭh,
Jab tak maiṉ tere dushmanoṉ ko tere páṉwoṉ ke níche na kar dúṉ?
45Pas jab Dáúd us ko Ḳhudáwand kahtá hai, to wuh us ká beṭá kyúṉkar ṭhahrá? 46Aur koí us ke jawáb meṉ ek bát na bol saká, aur na us din se phir kisí ne us se suwál karne kí jurʼat kí.

Currently Selected:

Matí 22: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in