Matí 17
17
1Chha din ke baʻd Yisúʻ ne Patras aur Yaʻqúb aur us ke bháí Yúhanná ko hamráh liyá, aur unheṉ ek úṉche pahár par alag le gayá; 2aur un ke sámne us kí súrat badal gayí; aur us ká chihra súraj kí mánind chamká, aur us kí poshák núr kí mánind safed ho gayí. 3Aur dekho, Músá aur Eliyyáh us ke sáth báteṉ karte húe unheṉ dikhái diye. 4Patras ne Yisúʻ se kahá; Aí Ḳhudáwand, hamárá yaháṉ rahná achchhá hai; marzí ho, to maiṉ yaháṉ tín ḍere banáúṉ, ek tere liye, ek Músá ke liye, ek Eliyyáh ke liye. 5Wuh bol hí rahá thá, ki dekho, ek núrání bádal ne un par sáya kar liyá, aur dekho, us bádal meṉ se áwáz áí, ki Yih merá piyárá Beṭá hai, jis se maiṉ ḳhush húṉ; is kí suno. 6Shágird yih sunkar muṉh ke bal gire, aur bahut hí dare. 7Yisúʻ ne pás ákar unheṉ chhúá, aur kahá, ki Uṭho, aur ḍaro nahíṉ. 8Jab unhoṉ ne apní áṉkheṉ uṭháíṉ, to ek Yisúʻ ke siwá âur kisí ko na dekhá.
9Jab wuh paháṛ se utarte the to Yisúʻ ne unheṉ yih hukm diyá, ki Jab tak Ibn i Ádam murdoṉ meṉ se na jí uṭhe, jo kuchh tum ne dekhá hai us ká zikr kisí se na karná. 10Us ke shágirdoṉ ne us se púchhá, ki Phir faqíh yih kyúṉ kahte haíṉ, ki Eliyyáh ká pahle áná zarúr hai? 11Us ne jawáb meṉ kahá; Eliyyáh albatta áegá, aur sab kuchh bahál karegá; 12lekín maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Eliyyáh to á chuká, aur unhoṉ ne us ko nahíṉ pahcháná, balki jo cháhá, us ke sáth kíyá; isí tarah Ibn i Ádam bhí un ke háth se dukh uṭháegá. 13Tab shágird samajh gaye ki us ne ham se Yúhanná baptisma denewále kí bábat kahá hai.
14Aur jab wuh bhíṛ ke pás pahuṉche, to ek ádmí us ke pás áyá, aur us ke áge ghuṭne ṭekkar kahne lagá; 15Ai Ḳhudáwand, mere beṭe par rahm kar, kyúṉki us ko mirgí átí hai, aur wuh bahut dukh uṭhátá hai, is liye ki aksar ág meṉ gir paṛtá hai, aur aksar pání meṉ bhí. 16Aur maiṉ us ko tere shágirdoṉ ke pás láyá thá, magar wuh use achchhá na kar sake. 17Yisúʻ ne jawáb meṉ kahá; Ai beiʻtiqád aur kajrau qaum, maiṉ kab tak tumháre sáth rahúṉgá? kab tak tumhárí bardásht karúṉgá? use yaháṉ mere pás le áo. 18Yisúʻ ne use jhiṛká, aur badrúh us se nikal gayí, aur wuh laṛká usí ghaṛí achchhá ho gayá. 19Us waqt shágirdoṉ ne Yisúʻ ke pás alag ákar kahá, ki Ham is ko kyúṉ na nikál sake? 20Us ne un se kahá; Apne ímán kí kamí ke sabab; kyúṉki maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki Agar tum meṉ ráí ke dáne ke barábar bhí ímán hogá, to is paháṛ se kah sakoge, ki Yaháṉ se sarak kar waháṉ chalá já, aur wuh chalá jáegá; aur koí bát tumháre liye námumkin na hogí. [21Lekin yih qism duʻá ke siwá âur kisí tarah nahíṉ nikal sakti.]
22Aur jab wuh Galíl meṉ rahte the, to Yisúʻ ne un se kahá, ki Ibn i Ádam ádmíoṉ ke hawále kiyá jáegá; 23aur wuh use qatl kareṉge, aur wuh tísre din zinda kiyá jáegá. Is par wuh bahut hí gamgín húe. 24Aur jab Kafarnahúm meṉ áe, to nim misqál lenewáloṉ ne Patras ke pás ákar kahá; Kyá tumhárá ustád ním misqál nahíṉ detá? 25Us ne kahá; Háṉ, detá hai. Aur jab wuh ghar meṉ áyá, to Yisúʻ ne us ke bolne se pahle hí kahá; Ai Shamaʻún, tú kyá samajhtá hai? Dunyá ke bádsháh kin se mahsúl yá jizya lete haiṉ? apne beṭoṉ se, yá gairoṉ se? 26Jab us ne kahá, ki Gairoṉ se; to Yisúʻ ne us se kahá; Pas beṭe barí húe. 27Magar is liye ki ham unheṉ ṭhokar na khiláeṉ, tú jhíl par jákar bansí ḍál, aur jo machhlí pahle nikle use le; aur jab us ká muṉh kholegá, to ek misqál milegá; wuh lekar mere aur apne badle unheṉ de.
Currently Selected:
Matí 17: URDR55
Highlight
Share
Copy

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)