YouVersion Logo
Search Icon

Matí 14

14
1Us waqt chautháí mulk ke hákim Herodes ne Yisúʻ kí shuhrat suní, 2aur apne ḳhádimoṉ se kahá, ki Yih Yúhanná baptisma denewálá hai; wuh murdoṉ meṉ se jí uṭhá hai, is liye us se yih muʻjize záhir hote haiṉ. 3Kyúṉki Herodes na apne bháí Filippus kí bíwí Herodiyás ke sabab Yúhanná ko pakaṛkar báṉdhá, aur qaidḳháne meṉ ḍál diyá thá; 4is liye ki Yúhanná ne us se kahá thá, ki Is ká rakhná tujhe rawá nahíṉ. 5Aur wuh harchand use qatl karná cháhtá thá, magar ʻámm logoṉ se dartá thá, kyúṉki wuh use nabí jánte the. 6Lekin jab Herodes kí sálgirih húi, to Herodiyás kí beṭí ne mahfil meṉ náchkar, Herodes ko ḳhush kiyá. 7Is par us ne qasam khákar us se waʻda kiyá, ki Jo kuchh tú máṉgegí, tujhe dúṉgá. 8Wuh apní máṉ ke sikháne se bolí, ki Yúhanná baptisma denewále ká sir thál meṉ yahíṉ mujhe maṉgwá de. 9Bádsháh gamgín húá, magar apní qasamoṉ aur mihmánoṉ ke sabab us ne hukm diyá, ki de diyá jáe; 10aur ádmí bhejkar, qaidḳháne meṉ Yúhanná ká sir kaṭwá diyá. 11Aur us ká sir thál meṉ láyá gayá, aur laṛkí ko diyá gayá; aur wuh use apní máṉ ke pás le gayí. 12Aur us ke shágirdoṉ ne ákar lásh uṭhá lí, aur use dafn kar diyá, aur jákar Yisúʻ ko ḳhabar dí.
13Jab Yisúʻ ne yih suná, to waháṉ se kishtí par alag kisí wírán jagah ko rawána húá; aur log yih sunkar shahr shahr se paidal us ke píchhe gaye. 14Us ne utarkar baṛí bhíṛ dekhí, aur use un par tars áyá; aur us ne un ke bímároṉ ko achchhá kar diyá. 15Aur jab shám húi, to shágird us ke pás ákar bole, ki Jagah wírán hai, aur ab waqt guzar gayá hai; logoṉ ko ruḳhsat kar de, táki gáṉwoṉ meṉ jákar apne wáste kháná mol leṉ. 16Yisúʻ ne un se kahá, ki In ká jáná zarúr nahíṉ; tum hí inheṉ kháne ko do. 17Unhoṉ ne us se kahá, ki Yaháṉ hamáre pás páṉch roṭiyoṉ aur do machhliyoṉ ke siwá âur kuchh nahíṉ. 18Us ne kahá; Unheṉ yaháṉ mere pás le áo. 19Aur us ne logoṉ ko ghás par baiṭhne ká hukm diyá; phir us ne wuh páṉch roṭiyáṉ, aur do machhliyáṉ liṉ, aur ásmán ki taraf dekhkar barakat cháhi, aur toṛkar shágirdoṉ ko roṭiyáṉ diṉ, aur shágirdoṉ ne logoṉ ko. 20Aur sab khákar ser ho gaye, aur unhoṉ ne bache húe ṭukṛoṉ se bharí húi barah ṭokriyáṉ uṭháíṉ. 21Aur khánewále, siwá ʻauratoṉ aur bachchoṉ ke, páṉch hazár mard ke qarib the.
22Aur us ne fauran shágirdoṉ ko majbúr kiyá, ki kishtí par sawár hokar us se pahle pár chale jáeṉ, jab tak wuh logoṉ ko ruḳhsat kare. 23Aur logoṉ ko ruḳhsat karke ʻaláhida duʻá máṉgne ke liye paháṛ par chaṛh gayá; aur jab shám húi, to waháṉ akelá thá. 24Magar kishtí us waqt jhíl ke bích meṉ thí, aur lahroṉ se dagmagá rahí thí, kyúṉki hawá muḳhálif thí. 25Aur wuh rát ke chauthe pahar jhíl par chaltá húá un ke pás áyá. 26Shágird use jhíl par chalte húe dekhkar ghabrá gaye aur kahne lage, ki Bhút hai; aur ḍar ke máre chillá uṭhe. 27Yisúʻ ne fauran un se kahá; Ḳhátir jamaʻ rakkho; maiṉ húṉ; ḍaro nahíṉ. 28Patras ne us se jawáb meṉ kahá; Ai Ḳhudáwand, agar tú hai, to mujhe hukm de, ki pání par chalkar tere pás áúṉ. 29Us ne kahá; Á, Patras kishtí se utarkar, Yisúʻ ke pás jáne ke liye pání par chalne lagá. 30Magar jab hawá dekhí, to dar gayá, aur jab ḍúbne lagá, to chillákar kahá; Ai Ḳhudáwand, mujhe bachá! 31Yisúʻ ne fauran háth baṛhákar use pakaṛ liyá, aur us se kahá; Ai kam iʻtiqád, tú ne kyúṉ shakk kiyá? 32Aur jab wuh kishtí par chaṛh áe, to hawá tham gayí. 33Aur jo kishtí par the, unhoṉ ne use sijda karke kahá; Yaqínan tú Ḳhudá ká Beṭá hai.
34Wuh pár jákar Gannesarat ke ʻiláqe meṉ pahuṉche. 35Aur waháṉ ke logoṉ ne use pahchánkar, us sáre girdnawáh meṉ ḳhabar bhejí, aur sab bímároṉ ko us ke pás láe; 36aur wuh us kí minnat karne lage, ki us kí poshák ká kanára hí chhú leṉ; aur jitnoṉ ne chhúá, wuh achchhe ho gaye.

Currently Selected:

Matí 14: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in