Yúhanná 15
15
1Angúr ká haqíqí daraḳht maiṉ húṉ, aur merá Báp bágbán hai. 2Jo dálí mujh meṉ hai aur phal nahíṉ látí, use wuh káṭ ḍáltá hai; aur jo phal látí hai, use chháṉṭtá hai, táki ziyáda phal láe. 3Ab tum us kalám ke sabab, jo maiṉ ne tum se kiyá, pák ho. 4Tum mujh meṉ qáim raho, aur maiṉ tum meṉ. Jis tarah ḍálí, agar angúr ke daraḳht meṉ qáim na rahe, to apne áp se phal nahíṉ lá saktí; isí tarah tum bhí agar mujh meṉ qáim na raho, to phal nahíṉ lá sakte. 5Maiṉ angúr ká daraḳht húṉ, tum dáliyáṉ ho; jo mujh meṉ qáim rahtá hai, aur maiṉ us meṉ, wuhí bahut phal látá hai; kyúṉki mujh se judá hokar tum kuchh nahíṉ kar sakte. 6Agar koí mujh meṉ qáim na rahe, to wuh ḍálí kí tarah pheṉk diyá játá, aur súkh játá hai; aur log unheṉ jamaʻ karke ág meṉ jhoṉk dete haiṉ, aur wuh jal játí haiṉ. 7Agar tum mujh meṉ qáim raho, aur merí báteṉ tum meṉ qáim raheṉ, to jo cháho, máṉgo; wuh tumháre liye ho jáegá. 8Mere Báp ká jalál isí se hotá hai, ki tum bahut sá phal láo; jab hí tum mere shágird ṭhahroge. 9Jaise Báp ne mujh se mahabbat rakkhí, waise hí maiṉ ne tum se mahabbat rakkhí; tum merí mahabbat meṉ qáim raho. 10Agar tum mere hukmoṉ par ʻamal karoge, to merí mahabbat meṉ qáim rahoge, jaise maiṉ ne apne Báp ke hukmoṉ par ʻamal kiyá hai, aur us kí mahabbat meṉ qáim húṉ. 11Maiṉ ne yih báteṉ is liye tum se kahí haiṉ, ki merí ḳhushí tum meṉ ho, aur tumhárí ḳhushí púrí ho jáe. 12Merá hukm yih hai, ki jaise maiṉ ne tum se mahabbat rakkhí, tum bhí ek dúsre se mahabbat rakkho. 13Is se ziyáda mahabbat koí shaḳhs nahíṉ kartá, ki apní ján apne dostoṉ ke liye de de. 14Jo kuchh maiṉ tum ko hukm detá húṉ, agar tum use karo, to mere dost ho. 15Ab se maiṉ tumheṉ naukar na kahúṉgá, kyúṉki naukar nahíṉ jántá ki us ká málik kyá karta hai; balki tumheṉ maiṉ ne dost kahá hai, is liye ki jo báteṉ maiṉ ne apne Báp se suniṉ, wuh sab tum ko batá díṉ. 16Tum ne mujhe nahíṉ chuná, balki maiṉ ne tumheṉ chun liyá, aur tum ko muqarrar kiyá, ki jákar phal láo, aur tumhárá phal qáim rahe; táki mere nám se jo kuchh Báp se máṉgo, wuh tum ko de. 17Maiṉ tum ko in bátoṉ ká hukm is liye detá húṉ, ki tum ek dúsre se mahabbat rakkho. 18Agar dunyá tum se ʻadáwat rakhtí hai, to tum jánte ho ki us ne tum se pahle mujh se bhí ʻadáwat rakkhí hai. 19Agar tum dunyá ke hote, to dunyá apnoṉ ko ʻazíz rakhtí: lekin chúṉki tum dunyá ke nahíṉ, balki maiṉ ne tum ko dunyá meṉ se chun liyá hai, is wáste dunyá tum se ʻadáwat rakhtí hai. 20Jo bát maiṉ ne tum se kahí thí, use yád rakkho, ki nankar apne málik se baṛá nahíṉ hotá. Agar unhoṉ ne mujhe satáyá, to tumheṉ bhí satáeṉge; agar unhoṉ ne merí bát par ʻamal kiyá, to tumhárí bát par bhí ʻamal kareṉge. 21Lekin yih sab kuchh wuh mere nám ke sabab tumháre sáth kareṉge, kyúṉki wuh mere bhejnewále ko nahíṉ jánte. 22Agar maiṉ na átá, aur un se kalám na kartá, to wuh gunahgár na ṭhahrte: lekin ab un ke pás un ke gunáh ká ʻuzr nahíṉ. 23Jo mujh se ʻadáwat rakhtá hai, wuh mere Báp se bhí ʻadáwat rakhtá hai. 24Agar maiṉ un meṉ wuh kám na kartá, jo kisí dúsre ne nahíṉ kiye, to wuh gunahgár na ṭhahrte: magar ab to unhoṉ ne mujhe aur mere Báp donoṉ ko dekhá, aur donoṉ se ʻadáwat kí. 25Lekin yih is liye húá ki wuh qaul púrá ho, jo un kí sharíʻat meṉ likhá hai, ki Unhoṉ ne mujh se muft ʻadáwat kí. 26Lekin jab wuh Madadgár áegá, jis ko maiṉ tumháre pás Báp kí taraf se bhejúṉgá, yaʻní Sachcháí kí Rúh, jo Báp kí taraf se nikaltí hai, to wuh merí gawáhí degí: 27aur tum bhí gawáh ho, kyúṉki shurúʻ se mere sáth ho.
Currently Selected:
Yúhanná 15: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)