YouVersion Logo
Search Icon

Yarmiyáh 29

29
1Ab yih us ḳhatt kí báteṉ haiṉ jo Yarmiyáh nabí ne Yarúshalem se báqí buzurgoṉ ko, jo asír ho gaye the, aur káhinoṉ aur nabíoṉ aur un sab logoṉ ko, jin ko Nabúkadnazar Yarúshalem se asír karke Bábul le gayá thá, 2(us ke ba‘d ki Yakúniyáh bádsháh aur us kí wálida aur ḳhwájasará, aur Yahúdáh, aur Yarúshalem ke umará, aur kárígar, aur luhár Yarúshalem se chale gaye the:) 3Ili‘ásah bin Sáfan aur Jamariyáh bin Ḳhilqiyáh ke háth (jin ko sháh i Yahúdáh Sidqiyáh ne Bábul meṉ sháh i Bábul Nabúkadnazar ke pás bhejá,) irsál kiyá; aur us ne kahá, 4Rabb u’l afwáj, Isráíl ká Ḳhudá, un sab asíroṉ se jin ko maiṉ ne Yarúshalem se asír karwáke Bábul bhejá hai, yúṉ farmátá hai: 5Tum ghar banáo, aur un meṉ baso; aur bág̣ lagáo, aur un ká phal kháo; 6bíwiyáṉ karo, táki tum se beṭe beṭiyáṉ paidá hoṉ; aur apne beṭoṉ ke liye bíwiyáṉ lo; aur apní beṭiyáṉ shauharoṉ ko do, táki un se beṭe beṭiyáṉ paidá hoṉ; aur tum waháṉ phalo phúlo aur kam na ho. 7Aur us shahr kí ḳhair manáo, jis meṉ maiṉ ne tum ko asír karwáke bhejá hai, aur us ke liye Ḳhudáwand se du‘á karo: kyúṉki us kí salámatí meṉ tumhárí salámatí hogí. 8Kyúṉki Rabb u’l afwáj, Isráíl ká Ḳhudá, yúṉ farmátá hai, ki Wuh nabí jo tumháre darmiyán haiṉ, aur tumháre g̣aibdán tum ko gumráh na kareṉ, aur apne ḳhwábbínoṉ ko, jo tumháre hí kahne se ḳhwáb dekhte haiṉ, na máno. 9Kyúṉki wuh merá nám lekar tum se jhúṭhí nubuwwat karte haiṉ: maiṉ ne un ko nahíṉ bhejá, Ḳhudáwand farmátá hai. 10Kyúṉki Ḳhudáwand yúṉ farmátá hai, ki Jab Bábul meṉ sattar baras guzar chukeṉge, to maiṉ tum ko yád farmáúṉgá, aur tum ko is makán meṉ wápas láne se apne nek qaul ko púrá karúṉgá. 11Kyúṉki maiṉ tumháre haqq meṉ apne ḳhayálát ko jántá húṉ, Ḳhudáwand farmátá hai, ya‘ní salámatí ke ḳhayálát, buráí ke nahíṉ, táki maiṉ tum ko nek anjám kí ummed baḳhshúṉ. 12Tab tum merá nám loge, aur mujh se du‘á karoge, aur maiṉ tumhárí sunúṉgá. 13Aur tum mujhe ḍhúṉḍhoge, aur páoge, jab púre dil se mere tálib hoge. 14Aur maiṉ tum ko mil jáúṉgá, Ḳhudáwand farmátá hai; aur maiṉ tumhárí asírí ko mauqúf karáúṉgá, aur tum ko un sab qaumoṉ se aur sab jagahoṉ se, jin meṉ maiṉ ne tum ko háṉk diyá hai, jama‘ karáúṉgá, Ḳhudáwand farmátá hai; aur maiṉ tum ko us jagah meṉ jaháṉ se maiṉ ne tum ko asír karwáke bhejá wápas láúṉgá. 15Kyúṉki tum ne kahá, ki Ḳhudáwand ne Bábul meṉ tumháre liye nabí barpá kiye. 16Is liye Ḳhudáwand us bádsháh kí bábat jo Dáúd ke taḳht par baiṭhá hai, aur un sab logoṉ kí bábat jo is shahr meṉ baste haiṉ, ya‘ní tumháre bháiyoṉ kí bábat jo tumháre sáth asír hokar nahíṉ gaye, yúṉ farmátá hai; 17Rabb u’l afwáj yúṉ farmátá hai, ki Dekho, maiṉ un par talwár aur kál aur wabá bhejúṉgá, aur un ko ḳharáb anjíroṉ kí mánind banáúṉgá, jo aise ḳharáb haiṉ, ki kháne ke qábil nahíṉ. 18Aur maiṉ talwár aur kál aur wabá se un ká píchhá karúṉgá, aur maiṉ un ko zamín kí sab saltanatoṉ ke hawále karúṉgá, ki dhakke kháte phireṉ, aur satáe jáeṉ, aur sab qaumoṉ ke darmiyán jin meṉ maiṉ ne un ko háṉk diyá hai, la‘nat aur hairat aur suskár aur malámat ká bá‘is hoṉ: 19is liye ki unhoṉ ne merí báteṉ nahíṉ suníṉ, Ḳhudáwand farmátá hai, jab maiṉ ne apne ḳhidmatguzár nabíoṉ ko un ke pás bhejá; háṉ, maiṉ ne un ko barwaqt bhejá; par tum ne na suná, Ḳhudáwand farmátá hai. 20Pas tum, ai asírí ke sab logo, jin ko maiṉ ne Yarúshalem se Bábul ko bhejá hai, Ḳhudáwand ká kalám suno.
21 Rabb u’l afwáj, Isráíl ká Ḳhudá, Aḳhíab bin Qauláyáh kí bábat, aur Sidqiyáh bin Ma‘siyáh kí bábat, jo merá nám lekar tum se jhúṭhí nubuwwat karte haiṉ, yúṉ farmátá hai, ki Dekho, maiṉ un ko sháh i Bábul Nabúkadrazar ke hawále karúṉgá; aur wuh un ko tumhárí áṉkhoṉ ke sámne qatl karegá: 22aur Yahúdáh ke sab asír jo Bábul meṉ haiṉ, un kí la‘natí masal banákar kahá kareṉge, ki Ḳhudáwand tujhe Sidqiyáh aur Aḳhíab kí mánind kare, jin ko sháh i Bábul ne ág par kabáb kiyá: 23kyúṉki unhoṉ ne Isráíl meṉ hamáqat kí, aur apne paṛausiyoṉ kí bíwiyoṉ se zinákárí kí, aur merá nám lekar jhúṭhí báteṉ kahíṉ jin ká maiṉ ne un ko hukm nahíṉ diyá thá. Ḳhudáwand farmátá hai; maiṉ jántá húṉ aur gawáh húṉ.
24Aur Naḳhalámí Sama‘iyáh se kahná, 25ki Rabb u’l afwáj, Isráíl ká Ḳhudá, yúṉ farmátá hai, Is liye ki tú ne Yarúshalem ke sab logoṉ ko aur Safaniyáh bin Ma‘siyáh káhin aur sab káhinoṉ ko apne nám se yúṉ ḳhatt likh bheje, 26ki Ḳhudáwand ne Yahoyada‘ káhin kí jagah tujh ko káhin muqarrar kiyá, ki tú Ḳhudáwand ke ghar ke názimoṉ meṉ ho, aur har ek majnún aur nubuwwat ke mudda‘í ko qaid kare, aur káṭh meṉ ḍále. 27Pas tú ne ‘Anatotí Yarmiyáh ki, jo kahtá hai, ki Maiṉ tumhárá nabí húṉ, goshmálí kyúṉ nahíṉ kí? 28Kyúṉki us ne Bábul meṉ yih kahlá bhejá hai, ki Yih muddat daráz hai: tum ghar banáo, aur baso; aur bág̣ lagáo, aur un ká phal kháo. 29Aur Safaniyáh káhin ne yih ḳhatt paṛhkar Yarmiyáh nabí ko sunáyá. 30Tab Ḳhudáwand ká yih kalám Yarmiyáh par názil húá, ki 31Asírí ke sab logoṉ ko kahlá bhej, ki Ḳhudáwand Naḳhalámí Sama‘iyáh kí bábat yúṉ farmátá hai, Is liye ki Sama‘iyáh ne tum se nubuwwat kí, háláṉki maiṉ ne use nahíṉ bhejá, aur us ne tum ko jhúṭhí ummed diláí; 32is liye Ḳhudáwand yúṉ farmátá hai, ki Dekho, maiṉ Naḳhalámí Sama‘iyáh ko aur us kí nasl ko sazá dúṉgá; us ká koí ádmí na hogá jo in logoṉ ke darmiyán base, aur wuh us nekí ko, jo maiṉ apne logoṉ se karúṉgá, hargiz na dekhegá, Ḳhudáwand farmátá hai; kyúṉki us ne Ḳhudáwand ke ḳhiláf fitnaangez báteṉ kahí haiṉ.

Currently Selected:

Yarmiyáh 29: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in

Video for Yarmiyáh 29