YouVersion Logo
Search Icon

Yasa‘iyáh 8

8
1Phir Ḳhudáwand ne mujhe farmáyá, ki Ek baṛí taḳhtí le, aur us par sáf sáf likh: Maher-shálál-hásh-baz ke liye. 2Aur do diyánatdár gawáhoṉ ko, ya‘ní Uriyáh káhin ko, aur Zakariyáh bin Yabarakiyáh ko sháhid baná. 3Aur maiṉ nabiye ke pás gayá; so wuh hámila húí, aur beṭá paidá húá. Tab Ḳhudáwand ne mujhe farmáyá, ki Us ká nám Maher-shálál-hásh-baz rakh: 4Kyúṉki is se peshtar ki yih laṛká Abbá aur Ammáṉ kahná síkhe, Damishq ká mál aur Sámariya kí lúṭ ko uṭhwákar sháh i Asúr ke huzúr le jáeṉge.
5Phir Ḳhudáwand ne mujh se farmáyá, 6Chúṉki in logoṉ ne chashma e Shíloḳh ke áhistarau pání ko radd kiyá, aur Razín aur Ramaliyáh ke beṭe par máil húe; 7is liye ab dekh, Ḳhudáwand daryá e Furát ke saḳht shadíd sailáb ko, ya‘ní sháh i Asúr aur us kí sárí shaukat ko, in par chaṛhá láegá, aur wuh apne sab náloṉ par aur apne sab kanároṉ se bah niklegá: 8aur wuh Yahúdáh meṉ baṛhtá chalá jáegá, aur us kí tug̣yání baṛhtí jáegí, wuh gardan tak pahuṉchegá, aur us ke paroṉ ke phailáo se tere mulk kí sárí wus‘at, ai ‘Immánúel, chhip jáegí.
9Ai logo, dhúm macháo, par tum ṭukṛe ṭukṛe kiye jáoge; aur ai dúr dúr ke mulkoṉ ke báshindo, suno: kamar báṉdho, par tumháre ṭukṛe ṭukṛe kiye jáeṉge; kamar báṉdho, par tumháre purze purze hoṉge. 10Tum mansúba báṉdho, par wuh bátil hogá; tum kuchh kaho, aur use qiyám na hogá: kyúṉki Ḳhudá hamáre sáth hai. 11Kyúṉki Ḳhudáwand ne, jab us ká háth mujh par g̣álib húá, aur in logoṉ kí ráh meṉ chalne se mujhe mana‘ kiyá, to mujh se yúṉ farmáyá, ki 12Tum us sab ko jise yih log sázish kahte haiṉ, sázish na kaho; aur jis se wuh ḍarte haiṉ, tum na ḍaro, aur na ghabráo. 13Tum Rabb u’l afwáj hí ko muqaddas jáno, aur usí se ḍaro, aur usí se ḳháif raho. 14Aur wuh ek maqdis hogá, lekin Isráíl ke donoṉ gharánoṉ ke liye sadma aur ṭhokar ká patthar, aur Yarúshalem ke báshindoṉ ke liye phandá aur dám hogá. 15Un meṉ se bahutere us se ṭhokar kháeṉge, aur gireṉge, aur pásh pásh hoṉge, aur dám meṉ phaṉseṉge, aur pakṛe jáeṉge.
16Shahádatnáma band kar do, aur mere shágirdoṉ ke liye sharí‘at par muhr karo. 17Maiṉ bhí Ḳhudáwand kí ráh dekhúṉgá, jo ab Ya‘qúb ke gharáne se apná muṉh chhipátá hai; maiṉ us ká intizár karúṉgá. 18Dekh, maiṉ un laṛkoṉ samet, jo Ḳhudáwand ne mujhe baḳhshe, Rabb u’l afwáj kí taraf se, jo koh i Siyyún meṉ rahtá hai, baní Isráíl ke darmiyán nishánoṉ aur ‘ajáib o g̣aráib ke liye húṉ.
19Aur jab wuh tum se kaheṉ, Tum jinnát ke yároṉ aur afsúngaroṉ kí, jo phusphusáte aur baṛbaṛáte haiṉ, talásh karo, to tum kaho, Kyá logoṉ ko munásib nahíṉ ki apne Ḳhudá ke tálib hoṉ? kyá zindoṉ kí bábat murdoṉ se suwál kareṉ? 20Sharí‘at aur shahádat par nazar karo, agar wuh is kalám ke mutábiq na boleṉ, to un ke liye subh na hogí. 21Tab wuh mulk meṉ bhúke aur ḳhastahál phireṉge; aur yúṉ hogá ki jab wuh bhúke hoṉ, to ján se bezár hoṉge, aur apne bádsháh aur apne Ḳhudá par la‘nat kareṉge, aur apne muṉh ásmán kí taraf uṭháeṉge. 22Phir zamín kí taraf dekheṉge, aur nágahán tangí aur táríki, ya‘ní zulmat i andoh aur tíragí meṉ khadeṛe jáeṉge,

Currently Selected:

Yasa‘iyáh 8: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in