YouVersion Logo
Search Icon

Yasa‘iyáh 1

1
1Yasa‘iyáh bin Ámús kí royá, jo us ne Yahúdáh aur Yarúshalem kí bábat Yahúdáh ke bádsháhoṉ ‘Uzziyáh aur Yútám aur Áḳhaz aur Hizqiyáh ke aiyám men dekhí.
2Sun, ai ásmán, aur kán lagá, ai zamín, ki Ḳhudáwand yúṉ farmátá hai, ki Maiṉ ne laṛkoṉ ko pálá aur posá, par unhoṉ ne mujh se sarkashí kí. 3Bail apne málik ko pahchántá hai, aur gadhá apne sáhib kí charní ko; lekin baní Isráíl nahíṉ jánte, mere log kuchh nahíṉ sochte. 4Áh ḳhatákár guroh, badkirdárí se ladí húí qaum, badkirdároṉ kí nasl, makkár aulád; jinhoṉ ne Ḳhudáwand ko tark kiyá, Isráíl ke Quddús ko haqír jáná, aur gumráh o bargashta ho gaye. 5Tum kyúṉ ziyáda bag̣áwat karke âur már kháoge? Tamám sir bímár hai, aur dil bi’lkull sust hai. 6Talwe se lekar chándí tak us meṉ kahíṉ sihhat nahíṉ; faqat zaḳhm aur choṭ aur saṛe húe gháo hí haiṉ: jo na dabáe gaye, na báṉdhe gaye, na tel se narm kiye gaye haiṉ. 7Tumhárá mulk ujáṛ hai; tumhárí bastiyáṉ jal gayíṉ; pardesí tumhárí zamín ko tumháre sámne nigalte haiṉ, wuh wírán hai, goyá use ajnabí logoṉ ne ujáṛá hai. 8Aur Siyyún kí beṭí chhoṛ dí gayí hai, jaisí jhoṉpṛí tákistán meṉ aur chhappar kakṛí ke khet meṉ, yá us shahr kí mánind, jo mahsúr ho gayá ho. 9Agar Rabb u’l afwáj hamárá thoṛá sá baqiya báqí na chhoṛtá, to ham Sadúm kí misl aur ‘Amúrah kí mánind ho játe.
10Ai Sadúm ke hákimo, Ḳhudáwand ká kalám suno; ai ‘Amúrah ke logo, hamáre Ḳhudá kí sharí‘at par kán lagáo. 11Ḳhudáwand farmátá hai, Tumháre zabíhoṉ kí kasrat se mujhe kyá kám? maiṉ meṉḍhoṉ kí soḳhtaní qurbáníoṉ se aur farbih bachhṛoṉ kí charbí se bezár húṉ, aur bailoṉ aur bheṛoṉ aur bakroṉ ke ḳhún meṉ merí ḳhushnúdí nahíṉ. 12Jab tum mere huzúr ákar mere dídár ke tálib hote ho, to kaun tum se yih cháhtá hai, ki merí bárgáhoṉ ko rauṉdo? 13Áyande ko bátil hadye na láná, baḳhúr se mujhe nafrat hai, naye chánd aur sabt aur ‘ídí jamá‘at se bhí; kyúṉki mujh meṉ badkirdárí ke sáth ‘íd kí bardásht nahíṉ. 14Mere dil ko tumháre naye chándoṉ aur tumhárí muqarrara ‘ídoṉ se nafrat hai: wuh mujh par bár haiṉ; maiṉ un kí bardásht nahíṉ kar saktá. 15Jab tum apne háth phailáoge, to maiṉ tum se áṉkh pher lúṉgá; háṉ, jab tum du‘á par du‘á karoge, to maiṉ na sunúṉgá: tumháre háth to ḳhúnálúda haiṉ. 16Apne áp ko dho, apne áp ko pák karo; apne bure kámoṉ ko merí áṉkhoṉ ke sámne se dúr karo, badfi‘lí se báz áo, 17nekokárí síkho, insáf ke tálib ho, mazlúmoṉ kí madad karo, yatímoṉ kí faryádrasí karo, bewáoṉ ke hámí ho.
18Ab Ḳhudáwand farmátá hai, Áo, ham báham hujjat kareṉ; agarchi tumháre gunáh qirmizí hoṉ, wuh barf kí mánind safed ho jáeṉge, aur harchand wuh arg̣awání hoṉ, taubhí ún kí mánind ujle hoṉge. 19Agar tum rází aur farmánbardár ho, to zamín ke achchhe achchhe phal kháoge: 20par agar tum inkár karo, aur bág̣í ho, to talwár ká luqma ho jáoge, kyúṉki Ḳhudáwand ne apne muṉh se yih farmáyá hai.
21Wafádár bastí kaisí badkár ho gayí! wuh to insáf se ma‘múr thí, aur rastbází us meṉ bastí thí, lekin ab ḳhúní rahte haiṉ. 22Terí chándí mail ho gayí; terí mai meṉ pání mil gayá. 23Tere sardár gardankash aur choroṉ ke sáthí haiṉ, un meṉ se har ek rishwatdost aur in‘ám ká tálib hai; wuh yatímoṉ ká insáf nahíṉ karte, aur bewáoṉ kí faryád un tak nahíṉ pahuṉchtí.
24Is liye Ḳhudáwand Rabb u’l afwáj Isráíl ká Qádir yúṉ farmátá hai, ki Áh, maiṉ zarúr apne muḳhálifoṉ se árám páúṉgá, aur apne dushmanoṉ se intiqám lúṉgá. 25Aur maiṉ tujh par apná háth baṛháúṉgá, aur terí mail bi’lkull dúr kar dúṉgá, aur us ráṉge ko jo tujh meṉ milá hai judá karúṉgá: 26aur maiṉ tere qázíoṉ ko pahle kí tarah, aur tere mushíroṉ ko ibtidá ke mutábiq bahál karúṉgá, is ke ba‘d tú rástbáz bastí aur wafádár ábádí kahláegí. 27Siyyún ‘adálat ke sabab se, aur wuh jo us meṉ gunáh se báz áe haiṉ rástbází ke bá‘is naját páeṉge. 28Lekin gunahgár aur badkirdár sab ikaṭṭhe halák hoṉge, aur jo Ḳhudáwand se bág̣í húe, faná kiye jáeṉge. 29Kyúṉki wuh un balútoṉ se jin ko tum ne cháhá sharminda hoṉge, aur tum un bág̣oṉ se jin ko tum ne pasand kiyá hai ḳhajil hoge. 30Aur tum us balút kí mánind ho jáoge, jis ke patte jhaṛ jáeṉ, aur us bág̣ kí misl jo beábí se súkh jáe. 31Waháṉ ká pahlawán aisá ho jáegá, jaisá san, aur us ká kám chingárí ho jáegá; wuh donoṉ báham jal jáeṉge, aur koí un kí ág na bujháegá.

Currently Selected:

Yasa‘iyáh 1: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in