YouVersion Logo
Search Icon

Paidáish 8

8
1Phir Ḳhudá ne Núh ko, aur kull jándároṉ aur kull chaupáyoṉ ko, jo us ke sáth kishtí meṉ the, yád kiyá: aur Ḳhudá ne zamín par ek hawá chaláí, aur pání ruk gayá. 2Aur samundar ke sote, aur ásmán ke daríche, band kiye gaye, aur ásmán se jo bárish ho rahí thí tham gayí; 3aur pání zamín par se ghaṭte ghaṭte ek sau pachás din ke ba‘d kam húá. 4Aur sátweṉ mahíne kí sattrahwín táríḳh ko kishtí Arárát ke paháṛoṉ par ṭik gayí. 5Aur pání dasweṉ mahíne tak barábar ghaṭtá rahá: aur dasweṉ mahíne kí pahlí táríḳh ko paháṛoṉ kí choṭiyáṉ nazar áíṉ. 6Aur chálís din ke ba‘d yúṉ húá, ki Núh ne kishtí kí khiṛkí, jo us ne banáí thí, kholí. 7Aur us ne ek kawwe ko uṛá diyá; so wuh niklá, aur jab tak ki zamín par se pání súkh na gayá, idhar udhar phirtá rahá. 8Phir us ne ek kabútarí apne pás se uṛá dí, táki dekhe, ki zamín par pání ghaṭá yá nahíṉ; 9par kabútarí ne panja ṭekne kí jagah na páí, aur us ke pás kishtí ko lauṭ áí; kyúṉki tamám rú e zamín par pání thá: tab us ne háth baṛhákar use le liyá, aur apne pás kishtí meṉ rakkhá. 10Aur sát din ṭhahrkar us ne us kabútarí ko phir kishtí se uṛá diyá; 11aur wuh kabútarí shám ke waqt us ke pás lauṭ áí; aur dekhá to zaitún kí ek táza pattí us kí choṉch meṉ thí. Tab Núh ne ma‘lúm kiyá, ki pání zamín par se kam ho gayá. 12Tab wuh sát din âur ṭhahrá; is ke ba‘d phir us kabútarí ko uṛáyá, par wuh us ke pás phir kabhí na lauṭí. 13Aur chha sau pahle baras ke pahle mahíne kí pahlí táríḳh ko yúṉ húá, ki zamín par se pání súkh gayá: aur Núh ne kishtí kí chhat kholí, aur dekhá, ki zamín kí sath súkh gayí hai. 14Aur dúsre mahíne kí sattáíswíṉ táríḳh ko zamín bi’lkull súkh gayí.
15Tab Ḳhudá ne Núh se kahá, ki 16Kishtí se báhar nikal á; tú, aur tere sáth terí bíwí, aur tere beṭe, aur tere beṭoṉ kí bíwiyáṉ. 17Aur un jándároṉ ko bhí báhar nikál lá jo tere sáth haiṉ, kyá parande, kyá chaupáye, kyá zamín ke reṉgnewále jándár, táki wuh zamín par kasrat se bachche deṉ aur bárwar hoṉ aur zamín par baṛh jáeṉ. 18Tab Núh apní bíwí aur apne beṭoṉ aur apne beṭoṉ kí bíwiyoṉ ke sáth báhar niklá. 19Aur sab jánwar, sab reṉgnewále jándár, sab parande, aur sab jo zamín par chalte haiṉ, apní apní jins ke sáth, kishtí se nikal gaye. 20Tab Núh ne Ḳhudáwand ke liye ek mazbah banáyá; aur sab pák chaupáyoṉ aur pák parandoṉ meṉ se thoṛe se lekar us mazbah par soḳhtaní qurbáníáṉ chaṛháíṉ. 21Aur Ḳhudáwand ne un kí ráhatangez ḳhushbú lí; aur Ḳhudáwand ne apne dil meṉ kahá, ki Insán ke sabab se maiṉ phir kabhí zamín ko la‘nat nahíṉ bhejúṉgá; kyúṉki insán ke dil ká ḳhayál laṛakpan se burá hai; aur na phir sab jándároṉ ko jaisá ab kiyá hai, márúṉgá. 22Balki jab tak zamín qáim hai, bíj boná aur fasl káṭná, sardí aur tapish, garmí aur jáṛá, din aur rát mauqúf na hoṉge.

Currently Selected:

Paidáish 8: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in