Paidáish 5
5
1Yih Ádam ká nasabnáma hai. Jis din Ḳhudá ne Ádam ko paidá kiyá, to use apní shabíh par banáyá; 2nar aur nárí un ko paidá kiyá; aur un ko barakat dí, aur jis roz wuh ḳhalq húe un ká nám Ádam rakkhá. 3Aur Ádam ek sau tís baras ká thá, jab us kí súrat o shabíh ká ek beṭá us ke háṉ paidá húá; aur us ne us ká nám Set rakkhá: 4aur Set kí paidáish ke ba‘d Ádam áṭh sau baras jítá rahá: aur us se beṭe aur beṭiyáṉ paidá húíṉ: 5aur Ádam kí kull ‘umr nau sau tís baras kí húí: tab wuh mará.
6Aur Set ek sau páṉch baras ká thá, jab us se Anús paidá húá. 7Aur Anús kí paidáish ke ba‘d Set áṭh sau sát baras jítá rahá, aur us se beṭe aur beṭiyáṉ paidá húíṉ: 8aur Set kí kull ‘umr nau sau bárah baras kí húí: tab wuh mará.
9Aur Anús nawwe baras ká thá, jab us se Qínán paidá húá: 10aur Qínán kí paidáish ke ba‘d Anús áṭh sau pandrah baras jítá rahá, aur us se beṭe aur beṭiyáṉ paidá húíṉ: 11aur Anús kí kull ‘umr nau sau páṉch baras kí húí: tab wuh mará.
12Aur Qínán sattar baras ká thá, jab us se Mahalalel paidá húá: 13aur Mahalalel kí paidáish ke ba‘d Qínán áṭh sau chálís baras jítá rahá, aur us se beṭe aur beṭiyáṉ paidá húíṉ: 14aur Qínán kí kull ‘umr nau sau das baras kí húí: tab wuh mará.
15Aur Mahalalel paiṉsaṭh baras ká thá, jab us se Yárid paidá húá: 16aur Yárid kí paidáish ke ba‘d Mahalalel áṭh sau tís baras jítá rahá, aur us se beṭe aur beṭiyáṉ paidá húíṉ: 17aur Mahalalel ki kull ‘umr áṭh sau pachánawe baras kí húí: tab wuh mará.
18Aur Yárid ek sau básaṭh baras ká tha, jab us se Hanúk paidá húá: 19aur Hanúk kí paidáish ke ba‘d Yárid áṭh sau baras jítá rahá, aur us se beṭe aur beṭiyáṉ paidá húíṉ: 20aur Yárid kí kull ‘umr nau sau básaṭh baras kí húí: tab wuh mará.
21Aur Hanúk paiṉsaṭh baras ká thá, jab us se Matúsilah paidá húá: 22aur Matúsilah kí paidáish ke ba‘d Hanúk tín sau baras ták Ḳhudá ke sáth sáth chaltá rahá, aur us se beṭe aur beṭiyáṉ paidá húíṉ: 23aur Hanúk kí kull ‘umr tín sau paiṉsaṭh baras kí húí: 24aur Hanúk Ḳhudá ke sáth sáth chaltá rahá: aur wuh g̣áib ho gayá: kyúṉki Ḳhudá ne use uṭhá liyá.
25Aur Matúsilah ek sau satásí baras ká thá, jab us se Lamak paidá húá: 26aur Lamak kí paidáish ke ba‘d Matúsilah sát sau byásí baras jítá rahá, aur us se beṭe aur beṭiyáṉ paidá húíṉ: 27aur Matúsilah kí kull ‘umr nau sau unhattar baras kí húí; tab wuh mará.
28Aur Lamak ek sau byásí baras ká thá, jab us se ek beṭá paidá húá: 29aur us ne us ká nám Núh rakkhá, aur kahá, ki Yih hamáre háthoṉ kí mihnat aur mashaqqat se, jo zamín ke sabab se hai, jis par Ḳhudá ne la‘nat kí hai, hameṉ árám degá. 30Aur Núh kí paidáish ke ba‘d Lamak páṉch sau pachánawe baras jítá rahá, aur us se beṭe aur beṭiyáṉ paidá húíṉ: 31aur Lamak kí kull ‘umr sát sau sathattar baras kí húí: tab wuh mará.
32Aur Núh páṉch sau baras ká thá, jab us se Sim, Hám, aur Yáfat paidá húe.
Currently Selected:
Paidáish 5: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)