Ifisíoṉ 5
5
1Pas ʻazíz farzandoṉ kí tarah Ḳhudá kí mánind bano; 2aur mahabbat se chalo, jaise Masíh ne tum se mahabbat kí, aur hamáre wáste apne áp ko ḳhushbú kí mánind Ḳhudá kí nazr karke qurbán kiyá. 3Aur jaisá ki muqaddasoṉ ko munásib hai, tum meṉ harámkárí aur kisí tarah kí nápákí yá lálach ká zikr tak na ho; 4aur na besharmí, aur behúdagoí, aur ṭhaṭṭhebází ká, kyúṉki yih láiq nahíṉ: balki barʻaks is ke shukrguzárí ho. 5Kyúṉki tum yih ḳhúb jánte ho, ki kisí harámkár, yá nápák, yá lálchí kí, jo butparast ke barábar hai, Masíh aur Ḳhudá kí bádsháhat meṉ kuchh mírás nahíṉ. 6Koí tum ko befáida bátoṉ se dhoká na de, kyúṉki inhíṉ gunáhoṉ ke sabab se náfarmání ke farzandoṉ par Ḳhudá ká gazab názil hotá hai. 7Pas un ke kámoṉ ke sharík na ho; 8kyúṉ-ki tum pahle táríkí the, magar ab Ḳhudáwand meṉ núr ho: pas núr ke farzandoṉ kí tarah chalo, 9(is liye ki núr ká phal har tarah kí nekí aur rástbází aur sachcháí hai), 10aur tajribe se maʻlúm karte raho ki Ḳhudáwand ko kyá pasand hai; 11aur táríkí ke bephal kámoṉ meṉ sharík na ho, balki un par malámat hí kiyá karo; 12kyúṉki un ke poshída kámoṉ ká zikr bhí karná sharm kí bát hai. 13Aur jin chízoṉ par malámat hotí hai, wuh sab núr se záhir hotí haiṉ: kyúṉki jo kuchh záhir kiyá játá hai, wuh raushan ho játá hai. 14Is liye wuh kahtá hai, ki Ai sonewále, jág, aur murdoṉ meṉ se jí uṭh, to Masíh ká núr tujh par chamkegá.
15Pas gaur se dekho, ki kis tarah chalte ho; nádánoṉ kí tarah nahíṉ, balki dánáoṉ kí mánind chalo; 16aur waqt ko ganímat jáno, kyúṉki din bure haiṉ. 17Is sabab se nádán na bano, balki Ḳhudáwand kí marzí ko samjho, ki kyá hai. 18Aur sharáb meṉ matwále na bano, kyúṉki is se badchalní wáqiʻ hotí hai; balki Rúh se maʻmúr hote jáo; 19aur ápas meṉ mazamír, aur gít, aur rúhání gazaleṉ gáyá karo, aur dil se Ḳhudáwand ke liye gáte bajáte rahá karo; 20aur sab bátoṉ meṉ hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke nám se hamesha Ḳhudá Báp ká shukr karte raho; 21aur Masíh ke ḳhauf se ek dúsre ke tábiʻ raho.
22Ai bíwiyo, apne shauharoṉ kí aisí tábiʻ raho, jaise Ḳhudáwand kí. 23Kyúṉkí shauhar bíwí ká sir hai, jaise ki Masíh kalísiyá ká sír hai, aur wuh ḳhud badan ká bachánewálá hai. 24Lekin jaise kalísiyá Masíh ke tábiʻ hai, waise hí bíwiyáṉ bhí har bát meṉ apne shauharoṉ ke tábiʻ hoṉ. 25Ai shauharo, apní bíwiyoṉ se mahabbat rakkho, jaise ki Masíh ne bhí kalísiyá se mahabbat karke apne áp ko us ke wáste maut ke hawále kar diyá; 26táki us ko kalám ke sáth pání se gusl dekar aur sáf karke muqaddas banáe, 27aur ek aisí jalálwálí kalísiyá banáke apne pás házir kare, jis ke badan meṉ dág, yá jhurrí, yá koí âur aisí chíz na ho; balki pák aur beʻaib ho. 28Isí tarah shauharoṉ ko lázím hai, ki apní bíwiyoṉ se apne badan kí mánind mahabbat rakkheṉ. Jo apní bíwí se mahabbat rakhtá hai, wuh apne se mahabbat rakhtá hai: 29kyúṉki kabhí kisí ne apne jism se dushmaní nahíṉ kí, balki us ko páltá, aur parwarish kartá hai, jaise ki Masíh kalísiyá ko; 30is liye ki ham us ke badan ke ʻuzw haiṉ. 31Isí sabab se ádmí báp se aur máṉ se judá hokar apní bíwí ke sáth rahegá, aur wuh donoṉ ek jism hoṉge. 32Yih bhed to baṛá hai, lekin maiṉ Masíh aur kalísiyá kí bábat kahtá húṉ. 33Ba har hál tum meṉ se bhí har ek apní bíwí se apní mánind mahabbat rakkhe; aur bíwí is bát ká ḳhayál rakkhe, ki apne shauhar se ḍartí ráhe.
Currently Selected:
Ifisíoṉ 5: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)