YouVersion Logo
Search Icon

Wá‘iz 9

9
1In sab bátoṉ par maiṉ ne dil se g̣aur kiyá, aur sab hál kí taftísh kí, aur ma‘lúm húá, ki sádiq, aur dánishmand, aur un ke kám, Ḳhudá ke háth meṉ haiṉ; sab kuchh insán ke sámne hai, lekin wuh na mahabbat jántá hai, na ‘adáwat. 2Sab kuchh sab par yaksán guzartá hai; sádiq aur sharír par; nekokár aur pák aur nápák par; us par jo qurbání guzrántá hai, aur us par jo qurbání nahíṉ guzrántá; ek hí hádisa wáqi‘ hotá hai: jaisá nekokár hai, waisá hí gunahgár hai: jaisá wuh jo qasam khátá hai, waisá hí wuh jo qasam se ḍartá hai. 3Sab chízoṉ meṉ jo dunyá meṉ hotí haiṉ, ek zabúní yih hai, ki ek hí hádisa sab par guzartá hai: háṉ, baní Ádam ká dil bhí sharárat se bhará hai, aur jab tak wuh jíte haiṉ hamáqat un ke dil meṉ rahtí hai, aur is ke ba‘d murdoṉ meṉ shámil hote haiṉ. 4Chúṉki jo zindoṉ ke sáth hai us ke liye ummed hai; is liye zinda kuttá murda sher se bihtar hai. 5Kyúṉki zinda jánte haiṉ ki wuh mareṉge; par murde kuchh bhí nahíṉ jánte, aur un ke liye âur kuchh ajr nahíṉ; kyúṉki un kí yád játí rahí hai. 6Ab un kí mahabbat aur ‘adáwat o hasad sab nest ho gaye; aur tá abad un sab kámoṉ meṉ, jo dunyá meṉ kiye játe haiṉ, un ká koí hissa baḳhra nahíṉ.
7Apní ráh chalá já, ḳhushí se apní roṭí khá, aur ḳhushdilí se apní mai pí; kyúṉki Ḳhudá tere a‘mál ko qubúl kar chuká hai. 8Terá libás hamesha safed ho, aur terá sir chihnáhaṭ se ḳhálí na rahe. 9Apní batálat kí zindagí ke sab din jo us ne dunyá meṉ tujhe baḳhshí hai, háṉ, apní batálat ke sab din us bíwí ke sáth, jo terí piyárí hai, ‘aish kar le; ki is zindagí meṉ, aur terí us mihnat ke daurán meṉ jo tú ne dunyá meṉ kí, terá yihí baḳhra hai. 10Jo kám terá háth karne ko páe, use maqdúr bhar kar; kyúṉki pátál meṉ jaháṉ tú játá hai, na kám hai, na mansúba, na ‘ilm, na hikmat.
11Phir maiṉ ne tawajjuh kí, aur dekhá, ki dunyá meṉ na to dauṛ meṉ tezraftár ko sabqat hai, na jang meṉ zoráwar ko fath, aur na roṭí dánishmand ko miltí hai, na daulat ‘aqlmandoṉ ko, aur na ‘izzat ahl i ḳhirad ko; balki un sab ke liye waqt aur hádisa hai. 12Kyúṉki insán apná waqt bhí nahíṉ pahchántá: jis tarah machhliyáṉ jo musíbat ke jál meṉ giriftár hotí haiṉ, aur jis tarah chiṛiyáṉ phande meṉ phaṉsáí játí haiṉ, usí tarah baní Ádam bhí badbaḳhtí meṉ, jab achának un par á paṛtí hai, phaṉs játe haiṉ.
13Maiṉ ne yih bhí dekhá, ki dunyá meṉ hikmat hai, aur yih mujhe baṛí chíz ma‘lúm húí: 14ek chhoṭá shahr thá, aur us meṉ thoṛe se log the; us par ek baṛá bádsháh chaṛh áyá, aur us ká muhásara kiyá, aur us ke muqábil baṛe baṛe damdame báṉdhe: 15magar us shahr meṉ ek kaṉgál dánishwar mard páyá gayá, aur us ne apní hikmat se us shahr ko bachá liyá; taubhí kisí shaḳhs ne is miskín mard ko yád na kiyá. 16Tab maiṉ ne kahá, ki Hikmat zor se bihtar hai; taubhí miskín kí hikmat kí tahqír hotí hai, aur us kí báteṉ suní nahíṉ játíṉ.
17Dánishwaroṉ kí báteṉ jo áhistagí se kahí játí haiṉ, ahmaqoṉ ke sardár ke shor se ziyáda suní játí haiṉ. 18Hikmat laṛáí ke hathyároṉ se bihtar hai, lekin ek gunahgár bahut sí nekí ko barbád kar detá hai.

Currently Selected:

Wá‘iz 9: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in