YouVersion Logo
Search Icon

Wá‘iz 10

10
1Murda makkhiyáṉ ‘attár ke ‘itr ko badbúdár kar detí haiṉ; aur thoṛí sí hamáqat hikmat o ‘izzat ko mát kar detí hai. 2Dánishwar ká dil us ke dahine háth hai; par ahmaq ká dil us kí báíṉ taraf. 3Háṉ, ahmaq jab ráh chaltá hai, to us kí ‘aql uṛ játí hai, aur wuh sab se kahtá hai, ki Maiṉ ahmaq húṉ. 4Agar hákim tujh par qahr kare, to apní jagah na chhoṛ; kyúṉki bardásht baṛe baṛe gunáhoṉ ko dabá detí hai. 5Ek zabúní hai jo maiṉ ne dunyá meṉ dekhí, goyá wuh ek ḳhatá hai, jo hákim se sarzad hotí hai: 6hamáqat bálánishín hotí hai, par daulatmand níche baiṭhte haiṉ. 7Maiṉ ne dekhá, ki naukar ghoṛoṉ par sawár hokar phirte haiṉ, aur sardár naukaroṉ kí mánind zamín par paidal chalte haiṉ. 8Gaṛhá khodnewálá usí meṉ giregá; aur díwár meṉ raḳhna karnewále ko sáṉp ḍasegá. 9Jo koí pattharoṉ ko káṭtá hai, un se choṭ kháegá; aur jo lakṛí chírtá hai, us se ḳhatre meṉ hai. 10Agar kulháṛá kund hai aur ádmí dhár tez na kare, to bahut zor lagáná paṛtá hai; par hikmat hidáyat ke liye mufíd hai. 11Agar sáṉp ne afsún se pahle ḍasá hai, to afsúngar ko kuchh fáida na hogá. 12Dánishmand ke muṉh kí báteṉ latíf haiṉ; par ahmaq ke hoṉṭh usí ko nigal játe haiṉ. 13Us ke muṉh kí bátoṉ kí ibtidá hamáqat hai; aur us kí bátoṉ kí intihá fitnaangez ablahí. 14Ahmaq bhí bahut sí báteṉ banátá hai; par ádmí nahíṉ batá saktá hai, ki kyá hogá; aur jo kuchh us ke ba‘d hogá, use kaun samjhá saktá hai? 15Ahmaq kí mihnat use thakátí hai, kyúṉki wuh shahr ko jáná bhí nahíṉ jántá. 16Ai mamlukat, tujh par afsos, jab nábálig̣ terá bádsháh ho, aur tere sardár subh ko kháeṉ. 17Nekbaḳht hai tú, ai sarzamín, jab terá bádsháh sharífzáda ho, aur tere sardár munásib waqt par tawánáí ke liye kháeṉ, aur na is liye ki badmast hoṉ. 18Káhilí ke sabab se kaṛiyáṉ jhuk játí haiṉ; aur háthoṉ ke ḍhíle hone se chhat ṭapaktí hai. 19Haṉsne ke liye log ziyáfat karte haiṉ, aur mai ján ko ḳhush kartí hai: aur rupiya se sab maqsad púre hote haiṉ. 20Tú apne dil meṉ bhí bádsháh par la‘nat na kar, aur apní ḳhwábgáh meṉ bhí máldár par la‘nat na kar; kyúṉki hawáí chiṛiyá bát ko le uṛegí aur pardár us ko khol degá.

Currently Selected:

Wá‘iz 10: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in