Kulussíoṉ 3
3
1Pas jab tum Masíh ke sáth jiláe gaye, to ʻálam i bálá kí chízoṉ kí talásh meṉ raho, jaháṉ Masíh maujúd hai, aur Ḳhudá kí dahiní taraf baiṭhá hai. 2ʻÁlam i bálá kí chízoṉ ke ḳhayál meṉ raho, na zamín par kí chízoṉ ke; 3kyúṉ ki tum mar gaye, aur tumhárí zindagí Masíh ke sáth Ḳhudá meṉ chhipí húí hai. 4Jab Masíh, jo hamárí zindagí hai, záhir kiyá jáegá, to tum bhí us ke sáth jalál meṉ záhir kiye jáoge.
5Pas apne un aʻzá ko murda karo, jo zamín par haiṉ, yaʻní harámkárí, aur nápákí, aur shahwat, aur burí ḳhwáhish, aur lálach ko jo butparastí ke barábar hai; 6ki unhíṉ ke sabab se Ḳhudá ká gazab náfarmání ke farzandoṉ par názil hotá hai; 7aur tum bhí, jis waqt un bátoṉ meṉ zindagí guzárte the, us waqt unhíṉ par chalte the. 8Lekin ab tum bhí in sab ko, yaʻní gussa, aur qahr, aur badḳhwáhí, aur badgoí, aur muṉh se gálí bakná chhoṛ do: 9ek dúsre se jhúṭh na bolo, kyúṉki tum ne purání insáníyat ko us ke kámoṉ samet utár ḍálá, 10aur nayí insáníyat ko pahin liyá hai, jo maʻrifat hásil karne ke liye apne Ḳháliq kí súrat par nayí bantí játí hai: 11waháṉ na Yúnáni rahá, na Yahúdí, na ḳhatna, na námaḳhtúní, na wahshí, na Skútí, na gulám, na ázád: sirf Masíh sab kuchh aur sab meṉ hai.
12Pas Ḳhudá ke barguzídoṉ kí tarah, jo pák aur ʻazíz haiṉ, dardmandí, aur mihrbání, aur firotaní, aur hilm aur tahammul ká libás pahino; 13agar kisí ko dúsre kí shikáyat ho, to ek dúsre kí bardásht kare, aur ek dúsre ke qusúr muʻáf kare; jaise Ḳhudáwand ne tumháre qusúr muʻáf kiye, waise hí tum bhí karo: 14aur in sab ke úpar mahabbat ko jo kamál ká paṭká hai báṉdh lo. 15Aur Masíh ká itmínán, jis ke liye tum ek badan hokar buláe bhí gaye ho, tumháre diloṉ par hukúmat kare, aur tum shukrguzár raho. 16Masíh ke kalám ko apne diloṉ meṉ kasrat se basne do; aur kamál dánáí se ápas meṉ taʻlím aur nasíhat karo, aur apne diloṉ meṉ fazl ke sáth Ḳhudá ke liye mazámír aur gít aur rúhání gazaleṉ gáo; 17aur kalám yá kám jo kuchh karte ho, wuh sab Ḳhudáwand Yisúʻ ke nám se karo, aur usí ke wasíle se Ḳhudá Báp ká shukr bajá láo.
18Ai bíwiyo, jaisá Ḳhudáwand meṉ munásib hai, apne shauharoṉ ke tábiʻ raho. 19Ai shauharo, apní bíwiyoṉ se mahabbat rakkho, aur un se talḳhmizájí na karo. 20Ai farzando, har bát meṉ apne máṉ báp ke farmánbardár raho; kyúṉki yih Ḳhudáwand meṉ pasandída hai. 21Ai bachchewálo, apne farzandoṉ ko diqq na karo, táki wuh bedil na ho jáeṉ. 22Ai naukaro, jo jism ke rú se tumháre málik haiṉ, sab bátoṉ meṉ un ke farmánbardár raho; ádmíoṉ ko ḳhush karnewáloṉ kí tarah dikháwe ke liye nahíṉ, balki sáfdilí aur Ḳhudá ke ḳhauf se: 23jo kám karo, jí se karo, yih jánkar ki Ḳhudáwand ke liye karte ho, na ádmíoṉ ke liye; 24kyúṉki tum jánte ho ki Ḳhudáwand kí taraf se is ke badle meṉ tum ko mírás milegí. Tum Ḳhudáwand Masíh kí ḳhidmat karte ho. 25Kyúṉki jo burá kartá hai, wuh apní buráí ká badla páegá; waháṉ kisí kí taraf dárí nahíṉ.
Currently Selected:
Kulussíoṉ 3: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)