YouVersion Logo
Search Icon

1 Tímuthiyus 5

5
1Kisí baṛe ʻumrwále ko malámat na kar, balki báp jánkar nasíhat kar; 2aur jawánoṉ ko bháí jánkar; aur baṛí ʻumrwálí ʻauratoṉ ko máṉ jánkar; aur jawán ʻauratoṉ ko, kamál pákízagí se, bahin jánkar. 3Un bewa ʻauratoṉ kí jo wáqaʻí bewa haiṉ, ʻizzat kar. 4Aur agar kisí bewa ke beṭe yá pote hoṉ, to wuh pahle apne hí gharáne ke sáth díndárí ká bartáo karná, aur máṉ báp ká haqq adá karná síkheṉ; kyúnki yih Ḳhudá ke nazdík pasandída hai. 5Jo wáqaʻí bewa hai aur us ká koí nahíṉ, wuh Ḳhudá par ummed rakhtí hai, aur rát din munáját aur duʻáoṉ meṉ mashgúl rahtí hai. 6Magar jo ʻaish o ʻishrat meṉ paṛ gayí hai, wuh jíte jí mar gayí hai. 7In bátoṉ ká bhí hukm kar, táki wuh beilzám raheṉ. 8Agar koí apnoṉ aur ḳhásskar apne gharáne kí ḳhabargírí na kare, to ímán ká munkir, aur beímán se badtar hai. 9Wuhí bewafard meṉ likhí jáe, jo sáṭh baras se kam kí na ho, aur ek shauhar kí bíwí húí ho; 10aur nek kámoṉ meṉ mashhúr ho; bachchoṉ kí tarbiyat kí ho; pardesiyoṉ ke sáth mihmánnawází kí ho; muqaddasoṉ ke páṉw dhoe hoṉ; musíbatzadoṉ kí madad kí ho; aur har nek kám karne kí darpai rahí ho. 11Magar jawán bewa ʻauratoṉ ke nám darj na kar, kyúṉki jab wuh Masíh ke ḳhiláf nafs ke tábiʻ ho játí haiṉ, to biyáh karná cháhtí haiṉ; 12aur sazá ke láiq ṭhahrtí haiṉ, is liye kí unhoṉ ne apne pahle ímán ko chhoṛ diyá. 13Aur is ke sáth hí wuh ghar ghar phirkar bekár rahná síkhtí haiṉ; aur sirf bekár hí nahíṉ rahtíṉ, balki bakbak kartí rahtí, aur auroṉ ke kám meṉ daḳhl bhí detí haiṉ, aur násháista báteṉ kahtí haiṉ. 14Pas maiṉ yih cháhtá húṉ ki jawán bewa ʻaurateṉ biyáh kareṉ, aulád janeṉ, ghar ká intizám kareṉ, aur kisí muḳhálif ko badgoí ká mauqaʻ na deṉ; 15kyúṉki baʻz gumrah hokar Shaitán kí pairau ho chukí haiṉ. 16Agar kisí ímándár ʻaurat ke háṉ bewa ʻaurateṉ hoṉ, to wuhí un kí madad kare, aur kalísiyá par bojh na ḍálá jáe, táki wuh un kí madad kar sake, jo wáqaʻí bewa haiṉ.
17Jo buzurg achchhá intizám karte haiṉ, ḳhásskar wuh jo kalám sunáne aur táʻlím dene meṉ mihnat karte haiṉ, dochand ʻizzat ke láiq samjhe jáeṉ. 18Kyúṉki kitáb i muqaddas yih kahtí hai, ki Dáeṉ meṉ chalte húe bail ká muṉh na báṉdhná; aur, Mazdúr apní mazdúrí ká haqqdár hai. 19Jo daʻwá kisí buzurg ke barḳhiláf kiyá jáe, bagair do yá tín gawáhoṉ ke us ko na sun. 20Gunáh karnewáloṉ ko sab ke sámne malámat kar, táki auroṉ ko bhí ḳhauf ho. 21Ḳhudá aur Masíh Yisúʻ aur barguzída firishtoṉ ko gawáh karke, maiṉ tujhe tákíd kartá húṉ, ki in bátoṉ par bilá taʻassub ʻamal karná, aur koí kám tarafdárí se na karná. 22Kisí shaḳhs par jald háth na rakhná, aur dúsroṉ ke gunáhoṉ meṉ sharík na honá. Apne áp ko pák rakhná. 23Áyanda ko sirf pání hí na piyá kar, balki apne miʻde aur aksar kamzor rahne kí wajh se, zará sí mai bhí kám meṉ láyá kar. 24Baʻz ádmíoṉ ke gunáh záhir hote haiṉ, aur pahle hí ʻadálat meṉ pahuṉch játe haiṉ; aur baʻz ke píchhe játe haiṉ. 25Isí tarah baʻz achchhe kám bhí záhir hote haiṉ; aur jo aise nahíṉ hote, wuh bhí chhip nahíṉ sakte.

Currently Selected:

1 Tímuthiyus 5: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in