1 Thissaluníkíoṉ 2
2
1Ai bháiyo, tum áp jánte ho ki hamárá tumháre pás áná befáida na húá; 2balki tum ko maʻlúm hí hai, ki báwujúd peshtar Filippí meṉ dukh uṭháne aur beʻizzat hone ke, ham ko apne Ḳhudá meṉ yih dilerí hásil húí, kí Ḳhudá kí ḳhushḳhabarí baṛí jánfishání se tumheṉ sunáeṉ. 3Kyúṉki hamárí nasíhat na gumráhí se hai, na nápákí se, na fareb ke sáth: 4balki jaise Ḳhudá ne ham ko maqbúl karke ḳhushḳhabarí hamáre supurd kí, waise hí ham bayán karte haiṉ; ádmíoṉ ko nahíṉ, balki Ḳhudá ko ḳhush karne ke liye, jo hamáre diloṉ ko ázmátá hai. 5Kyúṉki tum ko maʻlúm hí hai ki na kabhí hamáre kalám meṉ ḳhushámad páí gayí, na wuh lálach ká parda baná; Ḳhudá is ká gawáh hai; 6aur ham ádmíoṉ se ʻizzat nahíṉ cháhte the; na tum se, na auroṉ se; agarchi Masíh ke rasúl hone ke báʻís tum par bojh ḍál sakte the. 7Balki jis tarah máṉ apne bachchoṉ ko páltí hai, usí tarah ham tumháre darmiyán narmí ke sáth rahe; 8aur usí tarah ham tumháre bahut mushtáq hokar, na faqat Ḳhudá kí ḳhushḳhabarí, balki apní ján tak bhí tumheṉ de dene ko rází the, ís wáste ki tum hamáre piyáre ho gaye the. 9Kyúṉki, ai bháiyo, tum ko hamárí mihnat aur mashaqqat yád hogí, ki ham ne tum meṉ se kisí par bojh na ḍálne kí garaz se, rát din mihnat mazdúrí karke, tumheṉ Ḳhudá kí ḳhushḳhabarí kí manádí kí. 10Tum bhí gawáh ho, aur Ḳhudá bhí, ki tum se jo ímán le áe ho ham kaisí pákízagí aur rástbází aur beʻaibi ke sáth pesh áe: 11chunáṉchi tum jánte ho, ki jis tarah báp apne bachchoṉ ke sáth kartá hai, usí tarah ham bhí tum meṉ se har ek ko nasíhat karte, aur dilásá dete, aur samjháte rahe, 12táki tumhárá chál chalan Ḳhuda ke láiq ho, jo tumheṉ apní bádsháhat aur jalál meṉ bulátá hai. 13Is wáste ham bhí bilánága Ḳhudá ká shukr karte haiṉ, ki jab Ḳhudá ká paigám hamárí maʻrifat tumháre pás pahuṉchá, to tum ne use ádmíoṉ ká kalám samajhkar nahíṉ, balki (jaisá haqíqat meṉ hai,) Ḳhudá ká kalám jánkar qubúl kiyá, aur wuh tum meṉ jo ímán le áe ho tásír bhí kar rahá hai. 14Is liye ki tum, ai bháiyo, Ḳhudá kí un kalísiyáoṉ kí mánind ban gaye, jo Yahúdiya meṉ Masíh Yisúʻ meṉ haiṉ; kyúṉki tum ne bhí apne qaumwáloṉ se wuhí taklífeṉ uṭháíṉ, jo unhoṉ ne Yahúdíoṉ se; 15jinhoṉ ne Ḳhudáwand Yisúʻ ko aur nabíoṉ ko bhí már ḍálá, aur ham ko satá satákar nikál diyá; wuh Ḳhudá ko pasand nahíṉ áte, aur sáre ádmíoṉ ke muḳhálif haiṉ. 16Aur wuh hameṉ gairqaumoṉ ko un kí naját ke liye kalám sunáne se manaʻ karte haiṉ; táki un ke gunáhoṉ ká paimána hamesha bhartá rahe; lekin un par intihá ká gazab á gayá.
17Ai bháiyo, jab ham thoṛe ʻarse ke liye záhir meṉ, na dil se, tum se judá ho gaye, to ham ne kamál árzú se tumhárí súrat dekhne kí âur bhí ziyáda koshish kí: 18is wáste ham ne (yaʻní mujh Paulus ne) ek dafʻa nahíṉ, balki do dafʻa tumháre pás áná cháhá, magar Shaitán ne hameṉ roke rakkhá. 19Bhalá, hamárí ummed, aur ḳhushí, aur faḳhr ká táj kyá hai? Kyá wuh hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ ke sámne us ke áne ke waqt tum hí na hoge? 20Hamárá jalál aur ḳhushí tum hí to ho.
Currently Selected:
1 Thissaluníkíoṉ 2: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)