YouVersion Logo
Search Icon

1 Kurinthíoṉ 3

3
1Aur ai bháiyo, maiṉ tum se is tarah kalám na kar saká, jis tarah rúháníoṉ se, balki jaise jismáníoṉ se, aur un se jo Masíh meṉ bachche haiṉ. 2Maiṉ ne tumheṉ dúdh piláyá, aur kháná na khiláyá; kyúṉki tum ko us kí bardásht na thí: balki ab bhí bardásht nahíṉ; 3kyúṉki abhí tak jismání ho: is liye ki jab tum meṉ hasad aur jhagṛá hai, to kyá tum jismání na húe, aur ínsání taríq par na chale? 4Is liye ki jab ek kahtá hai, Maiṉ Paulus ká húṉ, aur dúsrá kahtá hai, ki Maiṉ Apullos ká húṉ, to kyá tum insán na húe? 5Apullos kyá chíz hai? aur Paulus kyá? Ḳhádim, jin ke wasíle se tum ímán láe; aur har ek kí wuh haisíyat hai, jo Ḳhudáwand ne use baḳhshí. 6Maiṉ ne daraḳht lagáyá, aur Apullos ne pání diyá; magar baṛháyá Ḳhudá ne. 7Pas na lagánewálá kuchh chíz hai, na pání denewálá; magar Ḳhudá jo baṛhánewálá hai. 8Lagánewálá aur pání denewálá donoṉ ek haiṉ: lekin har ek apná ajr apní mihnat ke muwáfiq páegá. 9Kyúṉki ham Ḳhudá ke sáth kám karnewále haiṉ: tum Ḳhudá kí kheti aur Ḳhudá kí ʻimárat ho.
10Maiṉ ne us taufíq ke muwáfiq, jo Ḳhudá ne mujhe baḳhshí, dáná miʻmár kí tarah neo rakkhí, aur dúsrá us par ʻimárat uṭhátá hai. Pas har ek ḳhabardár rahe, ki wuh kaisí ʻimárat uṭhátá hai. 11Kyúṉki siwá us neo ke jo paṛí húí hai, aur wuh Yisúʻ Masíh hai, koí shaḳhs dusrí nahíṉ rakh saktá. 12Aur agar koí us neo par soná, yá chándí, yá beshqímat pattharoṉ, yá lakṛí, yá ghás, yá bhúse ká raddá rakkhe, 13to us ká kám záhir ho jáegá; kyúṉki jo din ág ke sáth záhir hogá, wuh us kám ko batá degá; aur wuh ág ḳhud har ek ká kám ázmá legí, ki kaisá hai. 14Jis ká kám us par baná húá báqí rahegá, wuh ajr páegá. 15Aur jis ká kám jal jáegá, wuh nuqsán uṭháegá; lekin ḳhud bach jáegá, magar jalte jalte.
16Kyá tum nahíṉ jánte, ki tum Ḳhudá ká maqdis ho, aur Ḳhudá kí Rúh tum meṉ basí húí hai? 17Agar koí Ḳhudá ke maqdis ko barbád karegá, Ḳhudá us ko barbád karegá; kyúṉki Ḳhudá ká maqdis pák hai, aur wuh tum ho.
18Koí apne áp ko fareb na de. Agar koí tum meṉ apne áp ko is jahán meṉ hakím samjhe, to bewuqúf bane, táki hakím ho jáe. 19Kyúṉki dunyá kí hikmat Ḳhudá ke nazdík bewuqúfí hai. Chunáṉchi likhá hai, ki Wuh hakímoṉ ko un hí kí chálákí meṉ phaṉsá detá hai; 20aur yih bhí, ki Ḳhudáwand hakímoṉ ke ḳhayáloṉ ko jántá hai, ki bátil haiṉ. 21Pas ádmíoṉ par koí faḳhr na kare. Kyúṉki sarí chízeṉ tumhárí haiṉ; 22ḳhwáh Paulus ho, ḳhwáh Apullos, ḳhwáh Kefá, ḳhwáh dunyá, ḳhwáh zindagí, ḳhwáh maut, ḳhwáh hál kí chízeṉ, ḳhwáh istiqbál kí; 23sab tumhárí haiṉ; aur tum Masíh ke ho; aur Masíh Ḳhudá ká hai.

Currently Selected:

1 Kurinthíoṉ 3: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in