1
Lūqā 20:25
Kitab-i Muqaddas
Us ne kahā, “To jo shahanshāh kā hai shahanshāh ko do aur jo Allāh kā hai Allāh ko.”
Compare
Explore Lūqā 20:25
2
Lūqā 20:17
Īsā ne un par nazar ḍāl kar pūchhā, “To phir kalām-e-muqaddas ke is hawāle kā kyā matlab hai ki ‘Jis patthar ko makān banāne wāloṅ ne radd kiyā, wuh kone kā buniyādī patthar ban gayā’?
Explore Lūqā 20:17
3
Lūqā 20:46-47
“Sharīat ke ulamā se ḳhabardār raho! Kyoṅki wuh shāndār choġhe pahan kar idhar-udhar phirnā pasand karte haiṅ. Jab log bāzāroṅ meṅ salām karke un kī izzat karte haiṅ to phir wuh ḳhush ho jāte haiṅ. Un kī bas ek hī ḳhāhish hotī hai ki ibādatḳhānoṅ aur ziyāfatoṅ meṅ izzat kī kursiyoṅ par baiṭh jāeṅ. Yih log bewāoṅ ke ghar haṛap kar jāte aur sāth sāth dikhāwe ke lie lambī lambī duāeṅ māṅgte haiṅ. Aise logoṅ ko nihāyat saḳht sazā milegī.”
Explore Lūqā 20:46-47
Home
Bible
Plans
Videos