1
Lūqā 19:10
Kitab-i Muqaddas
Kyoṅki Ibn-e-Ādam gumshudā ko ḍhūṅḍne aur najāt dene ke lie āyā hai.”
Compare
Explore Lūqā 19:10
2
Lūqā 19:38
“Mubārak hai wuh Bādshāh jo Rab ke nām se ātā hai. Āsmān par salāmatī ho aur bulandiyoṅ par izzat-o-jalāl.”
Explore Lūqā 19:38
3
Lūqā 19:9
Īsā ne us se kahā, “Āj is gharāne ko najāt mil gaī hai, is lie ki yih bhī Ibrāhīm kā beṭā hai.
Explore Lūqā 19:9
4
Lūqā 19:5-6
Jab Īsā wahāṅ pahuṅchā to us ne nazar uṭhā kar kahā, “Zakkāī, jaldī se utar ā, kyoṅki āj mujhe tere ghar meṅ ṭhaharnā hai.” Zakkāī fauran utar āyā aur ḳhushī se us kī mehmān-nawāzī kī.
Explore Lūqā 19:5-6
5
Lūqā 19:8
Lekin Zakkāī ne Ḳhudāwand ke sāmne khaṛe ho kar kahā, “Ḳhudāwand, maiṅ apne māl kā ādhā hissā ġharīboṅ ko de detā hūṅ. Aur jis se maiṅ ne nājāyz taur se kuchh liyā hai use chār gunā wāpas kartā hūṅ.”
Explore Lūqā 19:8
6
Lūqā 19:39-40
Kuchh Farīsī bhīṛ meṅ the. Unhoṅ ne Īsā se kahā, “Ustād, apne shāgirdoṅ ko samjhāeṅ.” Us ne jawāb diyā, “Maiṅ tumheṅ batātā hūṅ, agar yih chup ho jāeṅ to patthar pukār uṭheṅge.”
Explore Lūqā 19:39-40
Home
Bible
Plans
Videos