1
Lūqā 14:26
Kitab-i Muqaddas
“Agar koī mere pās ā kar apne bāp, māṅ, bīwī, bachchoṅ, bhāiyoṅ, bahnoṅ balki apne āp se bhī dushmanī na rakhe to wuh merā shāgird nahīṅ ho saktā.
Compare
Explore Lūqā 14:26
2
Lūqā 14:27
Aur jo apnī salīb uṭhā kar mere pīchhe na ho le wuh merā shāgird nahīṅ ho saktā.
Explore Lūqā 14:27
3
Lūqā 14:11
Kyoṅki jo bhī apne āp ko sarfarāz kare use past kiyā jāegā aur jo apne āp ko past kare use sarfarāz kiyā jāegā.”
Explore Lūqā 14:11
4
Lūqā 14:33
Isī tarah tum meṅ se jo bhī apnā sab kuchh na chhoṛe wuh merā shāgird nahīṅ ho saktā.
Explore Lūqā 14:33
5
Lūqā 14:28-30
Agar tum meṅ se koī burj tāmīr karnā chāhe to kyā wuh pahle baiṭh kar pūre aḳhrājāt kā andāzā nahīṅ lagāegā tāki mālūm ho jāe ki wuh use takmīl tak pahuṅchā sakegā yā nahīṅ? Warnā ḳhatrā hai ki us kī buniyād ḍālne ke bād paise ḳhatm ho jāeṅ aur wuh āge kuchh na banā sake. Phir jo koī bhī dekhegā wuh us kā mazāq uṛā kar kahegā, ‘Us ne imārat ko shurū to kiyā, lekin ab use mukammal nahīṅ kar pāyā.’
Explore Lūqā 14:28-30
6
Lūqā 14:13-14
Is ke bajāe ziyāfat karte waqt ġharīboṅ, langaṛoṅ, maflūjoṅ aur andhoṅ ko dāwat de. Aisā karne se tujhe barkat milegī. Kyoṅki wuh tujhe is ke ewaz kuchh nahīṅ de sakeṅge, balki tujhe is kā muāwazā us waqt milegā jab rāstbāz jī uṭheṅge.”
Explore Lūqā 14:13-14
7
Lūqā 14:34-35
Namak achchhī chīz hai. Lekin agar us kā zāyqā jātā rahe to phir use kyoṅkar dubārā namkīn kiyā jā saktā hai? Na wuh zamīn ke lie mufīd hai, na khād ke lie balki use nikāl kar bāhar phaiṅkā jāegā. Jo sun saktā hai wuh sun le.”
Explore Lūqā 14:34-35
Home
Bible
Plans
Videos