1
Paidāish 26:3
Kitab-i Muqaddas
Us mulk meṅ ajnabī rah to maiṅ tere sāth hūṅgā aur tujhe barkat dūṅgā. Kyoṅki maiṅ tujhe aur terī aulād ko yih tamām ilāqā dūṅgā aur wuh wādā pūrā karūṅga jo maiṅ ne qasam khā kar tere bāp Ibrāhīm se kiyā thā.
Compare
Explore Paidāish 26:3
2
Paidāish 26:4-5
Maiṅ tujhe itnī aulād dūṅgā jitne āsmān par sitāre haiṅ. Aur maiṅ yih tamām mulk unheṅ de dūṅgā. Terī aulād se duniyā kī tamām qaumeṅ barkat pāeṅgī. Maiṅ tujhe is lie barkat dūṅgā ki Ibrāhīm mere tābe rahā aur merī hidāyāt aur ahkām par chaltā rahā.”
Explore Paidāish 26:4-5
3
Paidāish 26:22
Wahāṅ se jā kar us ne ek tīsrā kuāṅ khudwāyā. Is dafā koī jhagaṛā na huā, is lie us ne us kā nām Rahobot yānī ‘Khulī Jagah’ rakhā. Kyoṅki us ne kahā, “Rab ne hameṅ khulī jagah dī hai, aur ab ham mulk meṅ phaleṅ-phūleṅge.”
Explore Paidāish 26:22
4
Paidāish 26:2
Rab ne Is'hāq par zāhir ho kar kahā, “Misr na jā balki us mulk meṅ bas jo maiṅ tujhe dikhātā hūṅ.
Explore Paidāish 26:2
5
Paidāish 26:25
Wahāṅ Is'hāq ne qurbāngāh banāī aur Rab kā nām le kar ibādat kī. Wahāṅ us ne apne ḳhaime lagāe aur us ke naukaroṅ ne kuāṅ khod liyā.
Explore Paidāish 26:25
Home
Bible
Plans
Videos