1
Paidāish 25:23
Kitab-i Muqaddas
Rab ne us se kahā, “Tere andar do qaumeṅ haiṅ. Wuh tujh se nikal kar ek dūsrī se alag alag ho jāeṅgī. Un meṅ se ek zyādā tāqatwar hogī, aur baṛā chhoṭe kī ḳhidmat karegā.”
Compare
Explore Paidāish 25:23
2
Paidāish 25:30
Us ne kahā, “Mujhe jaldī se lāl sālan, hāṅ isī lāl sālan se kuchh khāne ko do. Maiṅ to bedam ho rahā hūṅ.” (Isī lie bād meṅ us kā nām Adom yānī Surḳh paṛ gayā.)
Explore Paidāish 25:30
3
Paidāish 25:21
Ribqā ke bachche paidā na hue. Lekin Is'hāq ne apnī bīwī ke lie duā kī to Rab ne us kī sunī, aur Ribqā ummīd se huī.
Explore Paidāish 25:21
4
Paidāish 25:32-33
Esau ne kahā, “Maiṅ to bhūk se mar rahā hūṅ, pahlauṭhe kā haq mere kis kām kā?” Yāqūb ne kahā, “Pahle qasam khā kar mujhe yih haq bech do.” Esau ne qasam khā kar use pahlauṭhe kā haq muntaqil kar diyā.
Explore Paidāish 25:32-33
5
Paidāish 25:26
Is ke bād dūsrā bachchā paidā huā. Wuh Esau kī eṛī pakaṛe hue niklā, is lie us kā nām Yāqūb yānī ‘Eṛī Pakaṛne Wālā’ rakhā gayā. Us waqt Is'hāq 60 sāl kā thā.
Explore Paidāish 25:26
6
Paidāish 25:28
Is'hāq Esau ko pyār kartā thā, kyoṅki wuh shikār kā gosht pasand kartā thā. Lekin Ribqā Yāqūb ko pyār kartī thī.
Explore Paidāish 25:28
Home
Bible
Plans
Videos