1
Galatíoṉ 6:9
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Ham nek kám karne meṉ himmat na háreṉ, kyúṉki agar bedil na hoṉge, to ʻain waqt par káṭeṉge.
Compare
Explore Galatíoṉ 6:9
2
Galatíoṉ 6:10
Pas jaháṉ tak mauqaʻ mile, sab ke sáth nekí kareṉ, ḳhásskar ahl i ímán ke sáth.
Explore Galatíoṉ 6:10
3
Galatíoṉ 6:2
Tum ek dúsre ká bár uṭháo, aur yúṉ Masíh kí sharíʻat ko púrá karo.
Explore Galatíoṉ 6:2
4
Galatíoṉ 6:7
Fareb na kháo; Ḳhudá ṭhaṭṭhoṉ meṉ nahíṉ uṛáyá játá: kyúṉki ádmí jo kuchh botá hai, wuhí káṭegá.
Explore Galatíoṉ 6:7
5
Galatíoṉ 6:8
Jo koi apne jism ke liye botá hai, wuh jism se halákat kí fasl káṭegá; aur jo Rúh ke liye botá hai, wuh Rúh se hamesha kí zindagí kí fasl káṭegá.
Explore Galatíoṉ 6:8
6
Galatíoṉ 6:1
Ai bháiyo, agar koí ádmí kisí qusúr meṉ pakṛá bhí jáe, to tum jo rúhání ho, us ko hilmmizájí se bahál karo; aur apná bhí ḳhayál rakh, kahíṉ tú bhí azmáish meṉ na paṛ jáe
Explore Galatíoṉ 6:1
7
Galatíoṉ 6:3-5
Kyúṉki agar koí shaḳhs apne áp ko kuchh samjhe, aur ho kuchh nahíṉ, to apne áp ko dhoká detá hai. Pas har shaḳhs apne hí kám ko ázmá le; is súrat meṉ use apní hí bábat faḳhr karne ká mauqaʻ hogá, na dúsre kí bábat. Kyúṉki har shaḳhs apná hí bojh uṭháegá.
Explore Galatíoṉ 6:3-5
Home
Bible
Plans
Videos