Galatíoṉ 6
6
1Ai bháiyo, agar koí ádmí kisí qusúr meṉ pakṛá bhí jáe, to tum jo rúhání ho, us ko hilmmizájí se bahál karo; aur apná bhí ḳhayál rakh, kahíṉ tú bhí azmáish meṉ na paṛ jáe 2Tum ek dúsre ká bár uṭháo, aur yúṉ Masíh kí sharíʻat ko púrá karo. 3Kyúṉki agar koí shaḳhs apne áp ko kuchh samjhe, aur ho kuchh nahíṉ, to apne áp ko dhoká detá hai. 4Pas har shaḳhs apne hí kám ko ázmá le; is súrat meṉ use apní hí bábat faḳhr karne ká mauqaʻ hogá, na dúsre kí bábat. 5Kyúṉki har shaḳhs apná hí bojh uṭháegá.
6Kalám kí taʻlím pánewálá taʻlím denewále ko sab achchhí chízoṉ meṉ sharík kare. 7Fareb na kháo; Ḳhudá ṭhaṭṭhoṉ meṉ nahíṉ uṛáyá játá: kyúṉki ádmí jo kuchh botá hai, wuhí káṭegá. 8Jo koi apne jism ke liye botá hai, wuh jism se halákat kí fasl káṭegá; aur jo Rúh ke liye botá hai, wuh Rúh se hamesha kí zindagí kí fasl káṭegá. 9Ham nek kám karne meṉ himmat na háreṉ, kyúṉki agar bedil na hoṉge, to ʻain waqt par káṭeṉge. 10Pas jaháṉ tak mauqaʻ mile, sab ke sáth nekí kareṉ, ḳhásskar ahl i ímán ke sáth.
11Dekho, maiṉ ne kaise baṛe baṛe harfoṉ meṉ tum ko apne háth se likhá hai. 12Jitne log jismání namúd cháhte haiṉ, wuh tumheṉ ḳhatna karáne par majbúr karte haiṉ; sirf is liye ki Masíh kí salíb ke sabab satáe na jáeṉ. 13Kyúṉki ḳhatna karánewále ḳhud bhí sharíʻat par ʻamal nahíṉ karte; magar tumhárá ḳhatna is liye karáná cháhte haiṉ, ki tumhárí jismání hálat par faḳhr kareṉ. 14Lekin Ḳhudá na kare, ki maiṉ kisí chíz par faḳhr karúṉ, siwá apne Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh kí salib ke, jis se dunyá mere iʻtibár se maslúb húí, aur maiṉ dunyá ke iʻtibár se. 15Kyúṉki na ḳhatna kuchh chíz hai, na námaḳhtúní, balki naye sire se maḳhlúq honá. 16Aur jitne is qáʻide par chaleṉ, unheṉ, aur Ḳhudá ke Isráíl ko, itmínán aur rahm hásil hotá rahe.
17Áge ko koí mujhe taklíf na de: kyúṉki maiṉ apne jism par Yisúʻ ke dág liye húe phirtá húṉ.
18Ai bháiyo, hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ká fazl tumhárí rúh ke sáth rahe. Ámín.
Currently Selected:
Galatíoṉ 6: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)