የYouVersion አርማ
የፍለጋ አዶ

Paidáish 1

1
1Ḳhudá ne ibtidá meṉ zamín o ásmán ko paidá kiyá. 2Aur zamín wírán aur sunsán thí; aur gahráo ke úpar andherá thá: aur Ḳhudá kí rúh pání kí sath par jumbish kartí thí. 3Aur Ḳhudá ne kahá, ki Raushní ho já: aur raushní ho gayí. 4Aur Ḳhudá ne dekhá ki raushní achchhí hai; aur Ḳhudá ne raushní ko táríkí se judá kiyá. 5Aur Ḳhudá ne raushní ko to Din kahá, aur táríkí ko Rát. Aur shám húí aur subh húí. So pahlá din húá.
6Aur Ḳhudá ne kahá, ki Pániyoṉ ke darmiyán fazá ho, táki pání pání se judá ho jáe. 7Pas Ḳhudá ne fazá ko banáyá, aur fazá ke níche ke pání ko fazá ke úpar ke pání se judá kiyá: aur aisá hí húá. 8Aur Ḳhudá ne fazá ko Ásmán kahá. Aur shám húí aur subh húí. So dúsrá din húá.
9Aur Ḳhudá ne kahá, ki Ásmán ke níche ká pání ek jagah jama‘ ho, ki ḳhushkí nazar áe: aur aisá hí húá. 10Aur Ḳhudá ne ḳhushkí ko Zamín kahá; aur jo pání jama‘ ho gayá thá us ko Samundar. Aur Ḳhudá ne dekhá ki achchhá hai. 11Aur Ḳhudá ne kahá, ki Zamín ghás, aur bíjdár búṭiyoṉ ko, aur phaldár daraḳhtoṉ ko, jo apní apní jins ke muwáfiq phaleṉ, aur jo zamín par apne áp hí meṉ bíj rakkheṉ, ugáe: aur aisá hí húá. 12Tab zamín ne ghás, aur búṭiyoṉ ko, jo apní apní jins ke muwáfiq bíj rakkheṉ, aur phaldár daraḳhtoṉ ko, jin ke bíj un kí jins ke muwáfiq un meṉ haiṉ, ugáyá: aur Ḳhudá ne dekhá ki achchhá hai. 13Aur shám húí aur subh húí. So tísrá din húá.
14Aur Ḳhudá ne kahá, ki Falak par naiyir hoṉ, ki din ko rát se alag kareṉ; aur wuh nishánoṉ, aur zamánoṉ, aur dinoṉ, aur barasoṉ kí imtiyáz ke liye hoṉ; 15aur wuh falak par anwár ke liye hoṉ, ki zamín par raushní ḍáleṉ: aur aisá hí húá. 16So Ḳhudá ne do baṛe naiyir banáe; ek naiyir i akbar, ki din par hukm kare, aur ek naiyir i asg̣ar, ki rát par hukm kare: aur us ne sitároṉ ko bhí banáyá. 17Aur Ḳhudá ne un ko falak par rakkhá ki zamín par raushní ḍáleṉ, 18aur din par aur rát par hukm kareṉ, aur ujále ko andhere se judá kareṉ: aur Ḳhudá ne dekhá ki achchhá hai. 19Aur shám húí aur subh húí. So chauthá din húá.
20Aur Ḳhudá ne kahá, ki Pání jándároṉ ko kasrat se paidá kare, aur parande zamín ke úpar fazá meṉ uṛeṉ. 21Aur Ḳhudá ne baṛe baṛe daryáí jánwaroṉ ko, aur har qism ke jándár ko, jo pání se bakasrat paidá húe the, un kí jins ke muwáfiq, aur har qism ke parandoṉ ko, un kí jins ke muwáfiq, paidá kiyá: aur Ḳhudá ne dekhá ki achchhá hai. 22Aur Ḳhudá ne un ko yih kahkar barakat dí, ki Phalo, aur baṛho, aur in samundaroṉ ke pání ko bhar do, aur parande zamín par bahut baṛh jáeṉ. 23Aur shám húí aur subh húí. So páṉchwáṉ din húá.
24Aur Ḳhudá ne kahá, ki Zamín jándároṉ ko, un kí jins ke muwáfiq, chaupáye, aur reṉgnewále jándár, aur janglí jánwar, un kí jins ke muwáfiq, paidá kare: aur aisá hí húá. 25Aur Ḳhudá ne janglí jánwaroṉ aur chaupáyoṉ ko un kí jins ke muwáfiq, aur zamín ke reṉgnewále jándároṉ ko, un kí jins ke muwáfiq banáyá: aur Ḳhudá ne dekhá ki achchhá hai. 26Phir Ḳhudá ne kahá, ki Ham insán ko apní súrat par apní shabíh kí mánind banáeṉ; aur wuh samundar kí machhliyoṉ, aur ásmán ke parandoṉ, aur chaupáyoṉ, aur tamám zamín, aur sab jándároṉ par jo zamín par reṉgte haiṉ, iḳhtiyár rakkheṉ. 27Aur Ḳhudá ne insán ko apní súrat par paidá kiyá, Ḳhudá ki súrat par us ko paidá kiyá; nar o nárí un ko paidá kiyá. 28Aur Ḳhudá ne un ko barakat dí, aur kahá, ki Phalo, aur baṛho, aur zamín ko ma‘múr o mahkúm karo: aur samundar kí machhliyoṉ, aur hawá ke parandoṉ, aur kull jánwaroṉ par jo zamín par chalte haiṉ, iḳhtiyár rakkho. 29Aur Ḳhudá ne kahá, ki Dekho, maiṉ tamám rú e zamín kí kull bíjdár sabzí aur har daraḳht, jis meṉ us ká bíjdár phal ho, tum ko detá húṉ; yih tumháre kháne ko hoṉ: 30aur zamín ke kull jánwaroṉ ke liye, aur hawá ke kull parandoṉ ke liye, aur un sab ke liye, jo zamín par reṉgnewále haiṉ, jin meṉ zindagí ká dam hai, kull harí búṭiyáṉ kháne ko detá húṉ. Aur aisá hí húá. 31Aur Ḳhudá ne sab par, jo us ne banáyá thá, nazar kí, aur dekhá, ki bahut achchhá hai. Aur shám húí aur subh húí. So chhaṭá din húá.

Currently Selected:

Paidáish 1: URDR55

ማድመቅ

Share

Copy

None

ያደመቋቸው ምንባቦች በሁሉም መሣሪያዎችዎ ላይ እንዲቀመጡ ይፈልጋሉ? ይመዝገቡ ወይም ይግቡ