Jab rú e zamín par ádmí bahut baṛhne lage, aur un ke beṭiyáṉ paidá húíṉ, to Ḳhudá ke beṭoṉ ne ádmí kí beṭiyoṉ ko dekhá, ki wuh ḳhúbsúrat haiṉ; aur jin ko unhoṉ ne chuná un se biyáh kar liyá. Tab ḲHUDáWAND ne kahá, ki Merí rúh insán ke sáth hamesha muzáhamat na kartí rahegí, kyúṉki wuh bhí to bashar hai; taubhí us kí ‘umr ek sau bís baras kí hogí. Un dinoṉ meṉ zamín par jabbár the; aur ba‘d meṉ jab Ḳhudá ke beṭe ádmí kí beṭiyoṉ ke pás gaye, to un ke liye un se aulád húí. Yihí qadím zamáne ke súrmá haiṉ, jo baṛe námwar húe haiṉ.