1
Yúhanná 1:12
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Lekin jitnoṉ ne use qubúl kiyá, us ne unheṉ Ḳhudá ke farzand banne ká haqq baḳhshá, yaʻní unheṉ jo us ke nám par ímán láte haiṉ.
موازنہ
تلاش Yúhanná 1:12
2
Yúhanná 1:1
Ibtidá meṉ Kalám thá, aur Kalám Ḳhudá ke sáth thá, aur Kalám Ḳhudá thá.
تلاش Yúhanná 1:1
3
Yúhanná 1:5
Aur núr táríkí meṉ chamaktá hai: aur táríkí ne use qubúl na kiyá.
تلاش Yúhanná 1:5
4
Yúhanná 1:14
Aur Kalám mujassam húá, aur fazl aur sachcháí se maʻmúr hokar hamáre darmiyán rahá, aur ham ne us ká aisá jalál dekhá, jaisá Báp ke iklaute ká jalál.
تلاش Yúhanná 1:14
5
Yúhanná 1:3-4
Sárí chízeṉ us ke wasíle se paidá húíṉ; aur jo kuchh paidá húá hai, us meṉ se koí chíz bhí us ke bagair paidá nahíṉ húí. Us meṉ zindagí thí; aur wuh zindagí ádmíoṉ ká núr thá.
تلاش Yúhanná 1:3-4
6
Yúhanná 1:29
Dúsre din us ne Yisúʻ ko apní taraf áte dekhkar kahá; Dekho, yih Ḳhudá ká Barra hai, jo dunyá ká gunáh uṭhá le játá hai.
تلاش Yúhanná 1:29
7
Yúhanná 1:10-11
Wuh dunyá meṉ thá, aur dunyá us ke wasíle se paidá húí, aur dunyá ne use na pahcháná. Wuh apne ghar áyá, aur us ke apnoṉ ne use qubúl na kiyá.
تلاش Yúhanná 1:10-11
8
Yúhanná 1:9
Haqíqí núr, jo har ek ádmí ko raushan kartá hai, dunyá meṉ áne ko thá.
تلاش Yúhanná 1:9
9
Yúhanná 1:17
Is liye ki sharíʻat to Músá kí maʻrifat dí gayí; magar fazl aur sachcháí Yisúʻ Masíh kí maʻrífat pahuṉchi.
تلاش Yúhanná 1:17
صفحہ اول
بائبل
مطالعاتی منصوبہ
Videos