Zabúr 19

19
UNNÍSWÍṈ ZABÚR.
Ḳhudá ne ásmán o zamín ke intizám meṉ bakhúbí (1—6), aur apne kalám meṉ ziyá-datar jalíl taur se apne tain záhir kiyá hai (7—10), aur Dáúd aur sáre ímándár in tạlímoṉ se hidáyat kí roshní páte haiṉ (11—14). Matlab yih hai, ki makhlúqát aur Pak Nawishtoṉ ká ek hí bání hai, aur in donoṉ kí tạlímen ápas meṉ mutábaqat rakhtí haiṉ, yạne, jis Ḳhudá ne ạ́lam ko paidá kiyá, usí ne apná kalam, baḳhshá, aur yih har tarah se us kí sifát ke mutábiq, aur us ke bandoṉ kí roshní aur hidáyat ke liye hai.
Sardár Mug̣anní ke liye; Dáúd kí Zabúr.
1Ásmán Qádir i Mutlaq ká jalál bayán karte haiṉ, aur fazá us ke háthoṉ ke kám kí ḳhabar detí hai. 2Ek din dúsre din se kalam bayán kiyá kartá hai, aur ek rát dúsrí rát ko mạrifat bakhshtí rahtí hai. 3Na un ká kuchh kalam hai aur na un kí koí báteṉ; un kí áwáz bilkull nahíṉ suní játí. 4Sárí zamín meṉ un kí jaríb paṛí hai, aur jahán kí intihá tak un kí báteṉ haiṉ. Áftáb ke liye us ne un meṉ ḳhaima khaṛá kiyá hai; 5aur wuh dulhe ke mánind apne khilwatkháne se barámad hotá hai; pahlawán ke mánind rah meṉ dauṛne se ḳhush rahtá hai. 6Ásmánon kí hadd se us ká nikalná, aur us kí gardish un kí hudúd tak hai, aur us kí garmí se kuchh poshída nahíṉ hai.
7Yahowáh kí Tauret kámil, ján kí bahál karnewálí hai; Yahowáh kí shahádat yaqíní, sáde ko dáná karnewálí hai; 8Yahowáh ke qánún rást, dil ke ḳhush karnewále haiṉ; Yahowáh ká hukm ḳhális, ánkhoṉ ká raushan karnewálá hai; 9Yahowáh ká ḳhauf pák, abad tak páedár hai; Yahowáh kí ạdálateṉ sacháí, aur bikull sádiq haiṉ; 10jo sone aur bahut kundan se ziyádatar ḳhwáhish ke láiq, aur shahd aur us ke chhattoṉ ke ṭapaknewále se shíríṉtar haiṉ.
11Is ke ạláwa tera banda un se roshní pátá hai; un ke hifz karne meṉ baṛá hí ajr hai. 12Bhúl-chúk kí ḳhatáoṉ ko kaun samjhegá? Tú mujhe in poshída ḳhatáoṉ se barí ṭhahrá! 13Apne bande ko gushtáḳhí ke gunáhoṉ se bhí báz rakh, unheṉ mujh par musallit na hone de; tab maiṉ kámil húṉgá, aur bahut gunah se barí ṭhahrúṉgá; 14tab, Ai Yahowáh, merí chaṭán aur mere fidákár, mere muṉh kí báteṉ, aur mere dil ká soch, jo tere sámhne hai, maqbúl honge.

Поточний вибір:

Zabúr 19: URDRPS

Позначайте

Поділитись

Копіювати

None

Хочете, щоб ваші позначення зберігалися на всіх ваших пристроях? Зареєструйтеся або увійдіть