Yih qurbāniyāṅ dekh kar Rab ḳhush huā aur apne dil meṅ kahā, “Ab se maiṅ kabhī zamīn par insān kī wajah se lānat nahīṅ bhejūṅgā, kyoṅki us kā dil bachpan hī se burāī kī taraf māyl hai. Ab se maiṅ kabhī is tarah tamām jān rakhne wālī maḳhlūqāt ko rū-e-zamīn par se nahīṅ miṭāūṅgā. Duniyā ke muqarrarā auqāt jārī raheṅge. Bīj bone aur fasal kāṭne kā waqt, ṭhanḍ aur tapish, garmiyoṅ aur sardiyoṅ kā mausam, din aur rāt, yih sab kuchh duniyā ke Aḳhīr tak qāym rahegā.”