1
Paidáish 7:1
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Aur ḲHUDáWAND ne Núh se kahá, ki Tú apne púre ḳhándán ke sáth kishtí meṉ á; kyúṉki maiṉ ne tujhí ko apne sámne is zamáne meṉ rástbáz dekhá hai.
Муқоиса
Explore Paidáish 7:1
2
Paidáish 7:24
Aur pání zamín par ek sau pachás din tak chaṛhtá rahá.
Explore Paidáish 7:24
3
Paidáish 7:11
Núh kí ‘umr ká chha sauwáṉ sál thá, ki us ke dúsre mahíne kí ṭhík sattrahwíṉ táríḳh ko, baṛe samundar ke sab sote phúṭ nikle, aur ásmán kí khiṛkiyáṉ khul gayíṉ.
Explore Paidáish 7:11
4
Paidáish 7:23
Balki har jándár shai jo rú e zamín par thí mar miṭí, kyá insán, kyá haiwán, kyá reṉgnewálá jándár, kyá hawá ká paranda, yih sab ke sab zamín par se mar miṭe. Faqat ek Núh báqí bachá, yá wuh jo us ke sáth kishtí meṉ the.
Explore Paidáish 7:23
5
Paidáish 7:12
Aur chálís din aur chálís rát zamín par bárish hotí rahí.
Explore Paidáish 7:12
Асосӣ
Китоби Муқаддас
Нақшаҳо
Видео