1
Paidáish 32:28
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Us ne kahá, ki Terá nám áge ko Ya‘qúb nahíṉ, balki Isráíl hogá; kyúṉki tú ne Ḳhudá aur ádmíoṉ ke sáth zorázmáí kí, aur g̣álib húá.
Муқоиса
Explore Paidáish 32:28
2
Paidáish 32:26
Aur us ne kahá, Mujhe jáne de, kyúṉki pau phaṭ chalí. Ya‘qúb ne kahá, ki Jab tak tú mujhe barakat na de, maiṉ tujhe jáne nahíṉ dúṉgá.
Explore Paidáish 32:26
3
Paidáish 32:24
Aur Ya‘qúb akelá rah gayá; aur pau phaṭne ke waqt tak ek shaḳhs waháṉ us se kushtí laṛtá rahá.
Explore Paidáish 32:24
4
Paidáish 32:30
Aur Ya‘qúb ne us jagah ká nám Faníel rakkhá; aur kahá, ki Maiṉ ne Ḳhudá ko rúbarú dekhá, taubhí merí ján bachí rahí.
Explore Paidáish 32:30
5
Paidáish 32:25
Jab us ne dekhá, ki wuh us par g̣álib nahíṉ hotá, to us kí rán ko andar kí taraf se chhúá; aur Ya‘qúb kí rán kí nas us ke sáth kushtí karne meṉ chaṛh gayí.
Explore Paidáish 32:25
6
Paidáish 32:27
Tab us ne us se púchhá, ki Terá kyá nám hai? Us ne jawáb diyá, Ya‘qúb.
Explore Paidáish 32:27
7
Paidáish 32:29
Tab Ya‘qúb ne us se kahá, ki Maiṉ terí minnat kartá húṉ, tú mujhe apná nám batá de. Us ne kahá, ki Tú merá nám kyúṉ púchhtá hai? Aur us ne use waháṉ barakat dí.
Explore Paidáish 32:29
8
Paidáish 32:10
Maiṉ terí sab rahmatoṉ aur wafádárí ke muqábale meṉ jo tú ne apne bande ke sáth bartí hai bi’lkull hech húṉ, kyúṉki maiṉ sirf apní láṭhí lekar is Yardan ke pár gayá thá, aur ab aisá húṉ ki mere do g̣ol haiṉ.
Explore Paidáish 32:10
9
Paidáish 32:32
Isí sabab se baní Isráíl us nas ko, jo rán meṉ andar kí taraf hai, áj tak nahíṉ kháte, kyúṉki us shaḳhs ne Ya‘qúb kí rán kí nas ko, jo andar kí taraf se chaṛh gayí thí, chhú diyá thá.
Explore Paidáish 32:32
10
Paidáish 32:9
Aur Ya‘qúb ne kahá, Ai mere báp Abrahám ke Ḳhudá, aur mere báp Izháq ke Ḳhudá; Ai ḲHUDáWAND, jis ne mujhe yih farmáyá, ki Tú apne mulk ko apne rishtadároṉ ke pás lauṭ já, aur maiṉ tere sáth bhaláí karúṉgá.
Explore Paidáish 32:9
11
Paidáish 32:11
Maiṉ terí minnat kartá húṉ, ki mujhe mere bháí ‘Esau ke háth se bachá le; kyúṉki maiṉ us se daṛtá húṉ, ki kahíṉ wuh ákar mujhe aur bachchoṉ ko máṉ samet már na ḍále.
Explore Paidáish 32:11
Асосӣ
Китоби Муқаддас
Нақшаҳо
Видео