1
Paidáish 19:26
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Magar us kí bíwí ne us ke píchhe se muṛkar dekhá, aur wuh namak ká sutún ban gayí.
Муқоиса
Explore Paidáish 19:26
2
Paidáish 19:16
Magar us ne derí lagáí, to un mardoṉ ne us ká, aur us kí bíwí, aur us kí donoṉ beṭiyoṉ ká háth pakṛá; kyúṉki ḲHUDáWAND kí mihrbání us par húí: aur use nikálkar shahr se báhar kar diyá.
Explore Paidáish 19:16
3
Paidáish 19:17
Aur yúṉ húá ki jab wuh un ko báhar nikál láe, to us ne kahá, Apní ján bacháne ko bhág; na to píchhe muṛkar dekhná; na kahíṉ maidán meṉ ṭhahrná. Us paháṛ ko chalá já, tá na ho ki tú halák ho jáe.
Explore Paidáish 19:17
4
Paidáish 19:29
Aur yúṉ húá ki jab Ḳhudá ne us taráí ke shahroṉ ko nest kiyá, to Ḳhudá ne Abrahám ko yád kiyá, aur un shahroṉ ko, jaháṉ Lút rahtá thá, g̣árat karte waqt Lút ko us balá se bacháyá.
Explore Paidáish 19:29
Асосӣ
Китоби Муқаддас
Нақшаҳо
Видео