1
Yúhanná 4:24
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Ḳhudá rúh hai, aur zarúr hai ki us ke parastár rúh aur sachcháí se parastish kareṉ.
సరిపోల్చండి
Yúhanná 4:24 ని అన్వేషించండి
2
Yúhanná 4:23
Magar wuh waqt átá hai, balki ab hí hai, ki sachche parastár Báp kí parastish rúh aur sachcháí se kareṉge, kyúṉki Báp apne liye aise hí parastár ḍhúṉḍhtá hai.
Yúhanná 4:23 ని అన్వేషించండి
3
Yúhanná 4:14
magar jo koí us pání meṉ se píegá jo maiṉ use dúṉgá, wuh abad tak piyásá na hogá; balki jo pání maiṉ use dúṉgá, wuh us meṉ ek chashma ban jáegá, jo hamesha kí zindagí ke liye járí rahegá.
Yúhanná 4:14 ని అన్వేషించండి
4
Yúhanná 4:10
Yisúʻ ne jawáb meṉ us se kahá; Agar tú Ḳhudá kí baḳhshish ko jántí, aur yih bhí jántí, ki wuh kaun hai, jo tujh se kahtá hai; Mujhe pání pilá, to tú us se máṉgtí, aur wuh tujhe zindagí ká pání detá.
Yúhanná 4:10 ని అన్వేషించండి
5
Yúhanná 4:34
Yisúʻ ne un se kahá; Merá kháná yih hai, ki apne bhejnewále kí marzí ke muwáfiq ʻamal karúṉ, aur us ká kám púrá karúṉ.
Yúhanná 4:34 ని అన్వేషించండి
6
Yúhanná 4:11
ʻAurat ne us se kahá; Ai Ḳhudáwand, tere pás pání bharne ko to kuchh hai nahíṉ, aur kúáṉ gahrá hai: phir wuh zindagí ká pání tere pás kaháṉ se áyá?
Yúhanná 4:11 ని అన్వేషించండి
7
Yúhanná 4:25-26
ʻAurat ne us se kahá; Maiṉ jántí húṉ, ki Masíh, jo Ḳhristus kahlátá hai, ánewálá hai; jab wuh áegá, to hameṉ sab báteṉ batá degá. Yísúʻ ne us se kahá; Maiṉ jo tujh se bol rahá húṉ, wuhí húṉ.
Yúhanná 4:25-26 ని అన్వేషించండి
8
Yúhanná 4:29
Áo, ek ádmí ko dekho, jis ne mere sab kám mujhe batá diye: kyá mumkin hai ki Masíh yihí hai?
Yúhanná 4:29 ని అన్వేషించండి
హోమ్
బైబిల్
ప్రణాళికలు
వీడియోలు