Īsā ne ġhaur se us kī taraf dekhā. Us ke dil meṅ us ke lie pyār ubhar āyā. Wuh bolā, “Ek kām rah gayā hai. Jā, apnī pūrī jāydād faroḳht karke paise ġharīboṅ meṅ taqsīm kar de. Phir tere lie āsmān par ḳhazānā jamā ho jāegā. Is ke bād ā kar mere pīchhe ho le.”