1
Lūqā 16:10
Kitab-i Muqaddas
Jo thoṛe meṅ wafādār hai wuh zyādā meṅ bhī wafādār hogā. Aur jo thoṛe meṅ be'īmān hai wuh zyādā meṅ bhī be'īmānī karegā.
ஒப்பீடு
Lūqā 16:10 ஆராயுங்கள்
2
Lūqā 16:13
Koī bhī ġhulām do mālikoṅ kī ḳhidmat nahīṅ kar saktā. Yā to wuh ek se nafrat karke dūsre se muhabbat rakhegā, yā ek se lipaṭ kar dūsre ko haqīr jānegā. Tum ek hī waqt meṅ Allāh aur daulat kī ḳhidmat nahīṅ kar sakte.”
Lūqā 16:13 ஆராயுங்கள்
3
Lūqā 16:11-12
Agar tum duniyā kī nārāst daulat ko saṅbhālne meṅ wafādār na rahe to phir kaun haqīqī daulat tumhāre sapurd karegā? Aur agar tum ne dūsroṅ kī daulat saṅbhālne meṅ be'īmānī dikhāī hai to phir kaun tum ko tumhāre zātī istemāl ke lie kuchh degā?
Lūqā 16:11-12 ஆராயுங்கள்
4
Lūqā 16:31
Ibrāhīm ne kahā, ‘Agar wuh Mūsā aur nabiyoṅ kī nahīṅ sunte to wuh us waqt bhī qāyl nahīṅ hoṅge jab koī murdoṅ meṅ se jī uṭh kar un ke pās jāegā.’”
Lūqā 16:31 ஆராயுங்கள்
5
Lūqā 16:18
Chunāṅche jo ādmī apnī bīwī ko talāq de kar kisī aur se shādī kare wuh zinā kartā hai. Isī tarah jo kisī talāqshudā aurat se shādī kare wuh bhī zinā kartā hai.
Lūqā 16:18 ஆராயுங்கள்
முகப்பு
வேதாகமம்
வாசிப்புத் திட்டங்கள்
காணொளிகள்