1
Yūhannā 5:24
Kitab-i Muqaddas
Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ, jo bhī merī bāt sun kar us par īmān lātā hai jis ne mujhe bhejā hai abadī zindagī us kī hai. Use mujrim nahīṅ ṭhahrāyā jāegā balki wuh maut kī girift se nikal kar zindagī meṅ dāḳhil ho gayā hai.
ஒப்பீடு
Yūhannā 5:24 ஆராயுங்கள்
2
Yūhannā 5:6
Jab Īsā ne use wahāṅ paṛā dekhā aur use mālūm huā ki yih itnī der se is hālat meṅ hai to us ne pūchhā, “Kyā tū tandurust honā chāhtā hai?”
Yūhannā 5:6 ஆராயுங்கள்
3
Yūhannā 5:39-40
Tum apne sahīfoṅ meṅ ḍhūṅḍte rahte ho kyoṅki samajhte ho ki un se tumheṅ abadī zindagī hāsil hai. Lekin yihī mere bāre meṅ gawāhī dete haiṅ! To bhī tum zindagī pāne ke lie mere pās ānā nahīṅ chāhte.
Yūhannā 5:39-40 ஆராயுங்கள்
4
Yūhannā 5:8-9
Īsā ne kahā, “Uṭh, apnā bistar uṭhā kar chal-phir!” Wuh ādmī fauran bahāl ho gayā. Us ne apnā bistar uṭhāyā aur chalne-phirne lagā. Yih wāqiyā Sabat ke din huā.
Yūhannā 5:8-9 ஆராயுங்கள்
5
Yūhannā 5:19
Īsā ne unheṅ jawāb diyā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki Farzand apnī marzī se kuchh nahīṅ kar saktā. Wuh sirf wuh kuchh kartā hai jo wuh Bāp ko karte deḳhtā hai. Jo kuchh Bāp kartā hai wuhī Farzand bhī kartā hai
Yūhannā 5:19 ஆராயுங்கள்
முகப்பு
வேதாகமம்
வாசிப்புத் திட்டங்கள்
காணொளிகள்