1
Lúqá 22:42
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Ai Báp, agar tú cháhe, to yih piyála mujh se haṭá le; táham merí marzí nahíṉ, balki terí hí marzí púrí ho.
ஒப்பீடு
Lúqá 22:42 ஆராயுங்கள்
2
Lúqá 22:32
lekin maiṉ ne tere liye duʻá máṉgí, ki terá ímán játá na rahe: aur jab tú rujúʻ kare, to apne bháiyoṉ ko mazbút karná.
Lúqá 22:32 ஆராயுங்கள்
3
Lúqá 22:19
Phir us ne roṭí lí, aur shukr karke toṛí, aur yih kahkar un ko dí, ki Yih merá badan hai, jo tumháre wáste diyá játá hai: merí yádgárí ke liye yihí kiyá karo.
Lúqá 22:19 ஆராயுங்கள்
4
Lúqá 22:20
Aur isí tarah kháne ke baʻd piyála yih kahkar diyá, ki Yih piyála mere us ḳhún meṉ nayá ʻahd hai, jo tumháre wáste baháyá játá hai.
Lúqá 22:20 ஆராயுங்கள்
5
Lúqá 22:44
Phir wuh saḳht pareshání meṉ mubtalá hokar âur bhí dilsozí se duʻá máṉgne lagá; aur us ká pasína goyá ḳhún kí baṛí baṛí búṉdeṉ hokar zamín par ṭápaktá thá.
Lúqá 22:44 ஆராயுங்கள்
6
Lúqá 22:26
Magar tum aise na honá; balki jo tum meṉ baṛá hai, wuh chhoṭe kí mánind, aur jo sardár hai, wuh ḳhidmat karnewále kí mánind bane.
Lúqá 22:26 ஆராயுங்கள்
7
Lúqá 22:34
Us ne kahá; Ai Patras, maiṉ tujh se kahtá húṉ, ki áj murg báṉg na degá, jab tak tú tín bár merá inkár na kar legá, ki Maiṉ use nahíṉ jántá.
Lúqá 22:34 ஆராயுங்கள்
முகப்பு
வேதாகமம்
வாசிப்புத் திட்டங்கள்
காணொளிகள்