Paidāish 6
6
Logoṅ kī Ziyādatiyāṅ
1Duniyā meṅ logoṅ kī tādād baṛhne lagī. Un ke hāṅ beṭiyāṅ paidā huīṅ. 2Tab āsmānī hastiyoṅ ne dekhā ki banī nau insān kī beṭiyāṅ ḳhūbsūrat haiṅ, aur unhoṅ ne un meṅ se kuchh chun kar un se shādī kī. 3Phir Rab ne kahā, “Merī rūh hameshā ke lie insān meṅ na rahe kyoṅki wuh fānī maḳhlūq hai. Ab se wuh 120 sāl se zyādā zindā nahīṅ rahegā.” 4Un dinoṅ meṅ aur bād meṅ bhī duniyā meṅ dewqāmat afrād the jo insānī auratoṅ aur un āsmānī hastiyoṅ kī shādiyoṅ se paidā hue the. Yih dewqāmat afrād qadīm zamāne ke mashhūr sūrmā the.
5Rab ne dekhā ki insān nihāyat bigaṛ gayā hai, ki us ke tamām ḳhayālāt lagātār burāī kī taraf māyl rahte haiṅ. 6Wuh pachhtāyā ki maiṅ ne insān ko banā kar duniyā meṅ rakh diyā hai, aur use saḳht dukh huā. 7Us ne kahā, “Go maiṅ hī ne insān ko ḳhalaq kiyā maiṅ use rū-e-zamīn par se miṭā ḍālūṅgā. Maiṅ na sirf logoṅ ko balki zamīn par chalne-phirne aur reṅgne wāle jānwaroṅ aur hawā ke parindoṅ ko bhī halāk kar dūṅgā, kyoṅki maiṅ pachhtātā hūṅ ki maiṅ ne un ko banāyā.”
Baṛe Sailāb ke lie Nūh kī Taiyāriyāṅ
8Sirf Nūh par Rab kī nazar-e-karm thī. 9Yih us kī zindagī kā bayān hai.
Nūh rāstbāz thā. Us zamāne ke logoṅ meṅ sirf wuhī bequsūr thā. Wuh Allāh ke sāth sāth chaltā thā. 10Nūh ke tīn beṭe the, Sim, Hām aur Yāfat. 11Lekin duniyā Allāh kī nazar meṅ bigaṛī huī aur zulm-o-tashaddud se bharī huī thī. 12Jahāṅ bhī Allāh deḳhtā duniyā ḳharāb thī, kyoṅki tamām jāndāroṅ ne zamīn par apnī rawish ko bigāṛ diyā thā.
13Tab Allāh ne Nūh se kahā, “Maiṅ ne tamām jāndāroṅ ko ḳhatm karne kā faislā kiyā hai, kyoṅki un ke sabab se pūrī duniyā zulm-o-tashaddud se bhar gaī hai. Chunāṅche maiṅ un ko zamīn samet tabāh kar dūṅgā. 14Ab apne lie saro #Ibrānī lafz matrūk hai. Shāyad is kā matlab saro yā deodār kī lakaṛī ho. kī lakaṛī kī kashtī banā le. Us meṅ kamre hoṅ aur use andar aur bāhar tārkol lagā. 15Us kī lambāī 450 fuṭ, chauṛāī 75 fuṭ aur ūṅchāī 45 fuṭ ho. 16Kashtī kī chhat ko yoṅ banānā ki us ke nīche 18 inch khulā rahe. Ek taraf darwāzā ho, aur us kī tīn manzileṅ hoṅ. 17Maiṅ pānī kā itnā baṛā sailāb lāūṅgā ki wuh zamīn ke tamām jāndāroṅ ko halāk kar ḍālegā. Zamīn par sab kuchh fanā ho jāegā. 18Lekin tere sāth maiṅ ahd bāndhūṅgā jis ke taht tū apne beṭoṅ, apnī bīwī aur bahuoṅ ke sāth kashtī meṅ jāegā. 19Har qism ke jānwar kā ek nar aur ek mādā bhī apne sāth kashtī meṅ le jānā tāki wuh tere sāth jīte bacheṅ. 20Har qism ke par rakhne wāle jānwar aur har qism ke zamīn par phirne yā reṅgne wāle jānwar do do ho kar tere pās āeṅge tāki jīte bach jāeṅ. 21Jo bhī ḳhurāk darkār hai use apne aur un ke lie jamā karke kashtī meṅ mahfūz kar lenā.”
22Nūh ne sab kuchh waisā hī kiyā jaisā Allāh ne use batāyā.
Nu markerat:
Paidāish 6: GVR
Märk
Dela
Kopiera
Vill du ha dina höjdpunkter sparade på alla dina enheter? Registrera dig eller logga in
Copyright © 2019 Urdu Geo Version. CC-BY-NC-ND