1
Yūhannā 1:12
Kitab-i Muqaddas
To bhī kuchh use qabūl karke us ke nām par īmān lāe. Unheṅ us ne Allāh ke farzand banane kā haq baḳhsh diyā
Yenzanisa
Ongorora {{vhesi}}
2
Yūhannā 1:1
Ibtidā meṅ Kalām thā. Kalām Allāh ke sāth thā aur Kalām Allāh thā.
3
Yūhannā 1:5
Yih nūr tārīkī meṅ chamaktā hai, aur tārīkī ne us par qābū na pāyā.
4
Yūhannā 1:14
Kalām insān ban kar hamāre darmiyān rihāishpazīr huā aur ham ne us ke jalāl kā mushāhadā kiyā. Wuh fazl aur sachchāī se māmūr thā aur us kā jalāl Bāp ke iklaute Farzand kā-sā thā.
5
Yūhannā 1:3-4
Sab kuchh Kalām ke wasīle se paidā huā. Maḳhlūqāt kī ek bhī chīz us ke baġhair paidā nahīṅ huī. Us meṅ zindagī thī, aur yih zindagī insānoṅ kā nūr thī.
6
Yūhannā 1:29
Agle din Yahyā ne Īsā ko apne pās āte dekhā. Us ne kahā, “Dekho, yih Allāh kā Lelā hai jo duniyā kā gunāh uṭhā le jātā hai.
7
Yūhannā 1:10-11
Go Kalām duniyā meṅ thā aur duniyā us ke wasīle se paidā huī to bhī duniyā ne use na pahchānā. Wuh us meṅ āyā jo us kā apnā thā, lekin us ke apnoṅ ne use qabūl na kiyā.
8
Yūhannā 1:9
Haqīqī nūr jo har shaḳhs ko raushan kartā hai duniyā meṅ āne ko thā.
9
Yūhannā 1:17
Kyoṅki sharīat Mūsā kī mārifat dī gaī, lekin Allāh kā fazl aur sachchāī Īsā Masīh ke wasīle se qāym huī.
Pekutangira
Bhaibheri
Zvirongwa
Mavideo