1
Yūhannā 4:24
Kitab-i Muqaddas
Allāh Rūh hai, is lie lāzim hai ki us ke parastār Rūh aur sachchāī se us kī parastish kareṅ.”
Sammenlign
Utforsk Yūhannā 4:24
2
Yūhannā 4:23
Lekin wuh waqt ā rahā hai balki pahuṅch chukā hai jab haqīqī parastār Rūh aur sachchāī se Bāp kī parastish kareṅge, kyoṅki Bāp aise hī parastār chāhtā hai.
Utforsk Yūhannā 4:23
3
Yūhannā 4:14
Lekin jise maiṅ pānī pilā dūṅ use bād meṅ kabhī bhī pyās nahīṅ lagegī. Balki jo pānī maiṅ use dūṅgā wuh us meṅ ek chashmā ban jāegā jis se pānī phūṭ kar abadī zindagī muhaiyā karegā.”
Utforsk Yūhannā 4:14
4
Yūhannā 4:10
Īsā ne jawāb diyā, “Agar tū us baḳhshish se wāqif hotī jo Allāh tujh ko denā chāhtā hai aur tū use jāntī jo tujh se pānī māṅg rahā hai to tū us se māṅgtī aur wuh tujhe zindagī kā pānī detā.”
Utforsk Yūhannā 4:10
5
Yūhannā 4:34
Lekin Īsā ne un se kahā, “Merā khānā yih hai ki us kī marzī pūrī karūṅ jis ne mujhe bhejā hai aur us kā kām takmīl tak pahuṅchāūṅ.
Utforsk Yūhannā 4:34
6
Yūhannā 4:11
Ḳhātūn ne kahā, “Ḳhudāwand, āp ke pās to bālṭī nahīṅ hai aur yih kuāṅ gahrā hai. Āp ko zindagī kā yih pānī kahāṅ se milā?
Utforsk Yūhannā 4:11
7
Yūhannā 4:25-26
Aurat ne us se kahā, “Mujhe mālūm hai ki Masīh yānī Masah Kiyā Huā Shaḳhs ā rahā hai. Jab wuh āegā to hameṅ sab kuchh batā degā.” Is par Īsā ne use batāyā, “Maiṅ hī Masīh hūṅ jo tere sāth bāt kar rahā hūṅ.”
Utforsk Yūhannā 4:25-26
8
Yūhannā 4:29
“Āo, ek ādmī ko dekho jis ne mujhe sab kuchh batā diyā hai jo maiṅ ne kiyā hai. Wuh Masīh to nahīṅ hai?”
Utforsk Yūhannā 4:29
Hjem
Bibel
Leseplaner
Videoer