1
Paidāish 2:24
Kitab-i Muqaddas
Is lie mard apne māṅ-bāp ko chhoṛ kar apnī bīwī ke sāth paiwast ho jātā hai, aur wuh donoṅ ek ho jāte haiṅ.
Vergelijk
Ontdek Paidāish 2:24
2
Paidāish 2:18
Rab Ḳhudā ne kahā, “Achchhā nahīṅ ki ādmī akelā rahe. Maiṅ us ke lie ek munāsib madadgār banātā hūṅ.”
Ontdek Paidāish 2:18
3
Paidāish 2:7
Phir Rab Ḳhudā ne zamīn se miṭṭī le kar insān ko tashkīl diyā aur us ke nathnoṅ meṅ zindagī kā dam phūṅkā to wuh jītī jān huā.
Ontdek Paidāish 2:7
4
Paidāish 2:23
Use dekh kar wuh pukār uṭhā, “Wāh! Yih to mujh jaisī hī hai, merī haḍḍiyoṅ meṅ se haḍḍī aur mere gosht meṅ se gosht hai. Is kā nām Nārī rakhā jāe kyoṅki wuh nar se nikālī gaī hai.”
Ontdek Paidāish 2:23
5
Paidāish 2:3
Allāh ne sātweṅ din ko barkat dī aur use maḳhsūs-o-muqaddas kiyā. Kyoṅki us din us ne apne tamām taḳhlīqī kām se fāriġh ho kar ārām kiyā.
Ontdek Paidāish 2:3
6
Paidāish 2:25
Donoṅ, ādmī aur aurat nange the, lekin yih un ke lie sharm kā bāis nahīṅ thā.
Ontdek Paidāish 2:25
Thuisscherm
Bijbel
Leesplannen
Video's