1
Yūhannā 1:12
Kitab-i Muqaddas
To bhī kuchh use qabūl karke us ke nām par īmān lāe. Unheṅ us ne Allāh ke farzand banane kā haq baḳhsh diyā
Salīdzināt
Izpēti Yūhannā 1:12
2
Yūhannā 1:1
Ibtidā meṅ Kalām thā. Kalām Allāh ke sāth thā aur Kalām Allāh thā.
Izpēti Yūhannā 1:1
3
Yūhannā 1:5
Yih nūr tārīkī meṅ chamaktā hai, aur tārīkī ne us par qābū na pāyā.
Izpēti Yūhannā 1:5
4
Yūhannā 1:14
Kalām insān ban kar hamāre darmiyān rihāishpazīr huā aur ham ne us ke jalāl kā mushāhadā kiyā. Wuh fazl aur sachchāī se māmūr thā aur us kā jalāl Bāp ke iklaute Farzand kā-sā thā.
Izpēti Yūhannā 1:14
5
Yūhannā 1:3-4
Sab kuchh Kalām ke wasīle se paidā huā. Maḳhlūqāt kī ek bhī chīz us ke baġhair paidā nahīṅ huī. Us meṅ zindagī thī, aur yih zindagī insānoṅ kā nūr thī.
Izpēti Yūhannā 1:3-4
6
Yūhannā 1:29
Agle din Yahyā ne Īsā ko apne pās āte dekhā. Us ne kahā, “Dekho, yih Allāh kā Lelā hai jo duniyā kā gunāh uṭhā le jātā hai.
Izpēti Yūhannā 1:29
7
Yūhannā 1:10-11
Go Kalām duniyā meṅ thā aur duniyā us ke wasīle se paidā huī to bhī duniyā ne use na pahchānā. Wuh us meṅ āyā jo us kā apnā thā, lekin us ke apnoṅ ne use qabūl na kiyā.
Izpēti Yūhannā 1:10-11
8
Yūhannā 1:9
Haqīqī nūr jo har shaḳhs ko raushan kartā hai duniyā meṅ āne ko thā.
Izpēti Yūhannā 1:9
9
Yūhannā 1:17
Kyoṅki sharīat Mūsā kī mārifat dī gaī, lekin Allāh kā fazl aur sachchāī Īsā Masīh ke wasīle se qāym huī.
Izpēti Yūhannā 1:17
Mājas
Bībele
Plāni
Video