1
Paidāish 13:15
Kitab-i Muqaddas
Jo bhī zamīn tujhe nazar āe use maiṅ tujhe aur terī aulād ko hameshā ke lie detā hūṅ.
Σύγκριση
Διαβάστε Paidāish 13:15
2
Paidāish 13:14
Lūt Abrām se judā huā to Rab ne Abrām se kahā, “Apnī nazar uṭhā kar chāroṅ taraf yānī shimāl, junūb, mashriq aur maġhrib kī taraf dekh.
Διαβάστε Paidāish 13:14
3
Paidāish 13:16
Maiṅ terī aulād ko ḳhāk kī tarah beshumār hone dūṅgā. Jis tarah ḳhāk ke zarre gine nahīṅ jā sakte usī tarah terī aulād bhī ginī nahīṅ jā sakegī.
Διαβάστε Paidāish 13:16
4
Paidāish 13:8
Tab Abrām ne Lūt se bāt kī, “Aisā nahīṅ honā chāhie ki tere aur mere darmiyān jhagaṛā ho yā tere charwāhoṅ aur mere charwāhoṅ ke darmiyān. Ham to bhāī haiṅ.
Διαβάστε Paidāish 13:8
5
Paidāish 13:18
Abrām rawānā huā. Chalte chalte us ne apne ḍere Habrūn ke qarīb Mamre ke daraḳhtoṅ ke pās lagāe. Wahāṅ us ne Rab kī tāzīm meṅ qurbāngāh banāī.
Διαβάστε Paidāish 13:18
6
Paidāish 13:10
Lūt ne apnī nazar uṭhā kar dekhā ki Dariyā-e-Yardan ke pūre ilāqe meṅ Zuġhar tak pānī kī kasrat hai. Wuh Rab ke bāġh yā Mulk-e-Misr kī mānind thā, kyoṅki us waqt Rab ne Sadūm aur Amūrā ko tabāh nahīṅ kiyā thā.
Διαβάστε Paidāish 13:10
Αρχική
Αγία Γραφή
Σχέδια
Βίντεο