1
Zabúr 18:2
Zabúr 1863 (Roman Urdū)
Yahowáh merí chaṭán aur mera gaṛh aur mera chhuṛánewálá hai; mera Qádir i Mutlaq merí chaṭán hai, maiṉ us par bharosa rakhúṉgá; merí sipar aur merí naját ká sing, merí únchí jagah.
Compare
Explore Zabúr 18:2
2
Zabúr 18:30
yạne, Qádir i Mutlaq se, jis kí rah kámil hai; Yahowáh ká kalám táyá gayá, wuh apne sáre mutawakkiloṉ ke liye sipar hai.
Explore Zabúr 18:30
3
Zabúr 18:3
Maiṉ Yahowáh ko, jo hamd ke láiq hai, pukárúṉgá, aur apne dushmanoṉ se bach jáúṉgá.
Explore Zabúr 18:3
4
Zabúr 18:6
Maiṉ apní tangí meṉ Yahowáh ko pukárúṉgá, aur apne Ḳhudá kí duháí dúṉgá; wuh apní haikal se merí áwáz sunegá, aur merí duháí us ke sámhne, balki us ke kánoṉ meṉ pahunchegí.
Explore Zabúr 18:6
5
Zabúr 18:28
Kyúṉki Tú hí mera chirág jaláegá; Yahowáh mera Ḳhudá merí táríkí ko ujálá karegá.
Explore Zabúr 18:28
6
Zabúr 18:32
yạne, Qádir i Mutlaq ke bagair, jo merí kamar mazbútí se bándhtá hai, aur jis ne merí ráh kámil kí hai
Explore Zabúr 18:32
7
Zabúr 18:46
Yahowáh zinda hai, aur mubárak merí chaṭán, aur merí naját ká Ḳhudá baland hogá
Explore Zabúr 18:46
বাড়ি
বাইবেল
পরিকল্পনাগুলো
ভিডিও